Dil Ke Jalte Hue ZaKHmon Ka Mudawa Ban Kar, Urdu Ghazal By Mumtaz Rashid

Dil Ke Jalte Hue ZaKHmon Ka Mudawa Ban Kar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mumtaz Rashid. Dil Ke Jalte Hue ZaKHmon Ka Mudawa Ban Kar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Ke Jalte Hue ZaKHmon Ka Mudawa Ban Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل کے جلتے ہوئے زخموں کا مداوا بن کر

ممتاز راشد

دل کے جلتے ہوئے زخموں کا مداوا بن کر

پھول مہکے ہیں ترے ہاتھ کا سایہ بن کر

میں ترے جسم کو چھوتے ہوئے یوں ڈرتا ہوں

تشنگی اور بڑھا دے گا تو دریا بن کر

کیا ڈرائیں گے مقدر کے اندھیرے تجھ کو

میں چمکتا ہوں ترے ہاتھ پہ ریکھا بن کر

وقت ہے برف کی دیوار تو کیسے پگھلے

خوں بھی آنکھوں سے ٹپکتا نہیں شعلہ بن کر

ہاتھ آیا نہیں کچھ سنگ ملامت کے سوا

شہر میں دیکھ لیا ہم نے تماشا بن کر

حادثہ کوئی ہو بجھتی نہیں آنکھوں کی چمک

جسم میں پھیل گیا ہے وہ اجالا بن کر

آئنے صاف تھے کس کس کو وہاں جھٹلاتا

ہر سیاہی نظر آئی مرا چہرہ بن کر

تشنگی لاکھ سہی گھر سے نہ نکلو راشدؔ

رات سینے میں اتر جائے گی صحرا بن کر

ممتاز راشد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Ke Jalte Hue ZaKHmon Ka Mudawa Ban Kar

Mumtaz Rashid

dil ke jalte hue zaKHmon ka mudawa ban kar
phul mahke hain tere hath ka saya ban kar

main tere jism ko chhute hue yun Darta hun
tishnagi aur baDha dega tu dariya ban kar

kya Daraenge muqaddar ke andhere tujh ko
main chamakta hun tere hath pe rekha ban kar

waqt hai barf ki diwar to kaise pighle
KHun bhi aaankhon se Tapakta nahin shoala ban kar

hath aaya nahin kuchh sang-e-malamat ke siwa
shahr mein dekh liya hum ne tamasha ban kar

hadsa koi ho bujhti nahin aaankhon ki chamak
jism mein phail gaya hai wo ujala ban kar

aaine saf the kis kis ko wahan jhuTlata
har syahi nazar aai mera chehra ban kar

tishnagi lakh sahi ghar se na niklo 'rashid'
raat sine mein utar jaegi sahra ban kar

(808) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Ke Jalte Hue ZaKHmon Ka Mudawa Ban Kar written by Mumtaz Rashid at UrduPoint. Dil Ke Jalte Hue ZaKHmon Ka Mudawa Ban Kar is one of the masterpieces written by Mumtaz Rashid. You can also find the complete poetry collection of Mumtaz Rashid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mumtaz Rashid' above.

Dil Ke Jalte Hue ZaKHmon Ka Mudawa Ban Kar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Ke Jalte Hue ZaKHmon Ka Mudawa Ban Kar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.