Aa Ke Sajjada-nashin Qais Hua Mere Baad, Urdu Ghazal By Munawar Khan Ghafil

Aa Ke Sajjada-nashin Qais Hua Mere Baad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munawar Khan Ghafil. Aa Ke Sajjada-nashin Qais Hua Mere Baad comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aa Ke Sajjada-nashin Qais Hua Mere Baad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آ کے سجادہ نشیں قیس ہوا میرے بعد

منور خان غافل

آ کے سجادہ نشیں قیس ہوا میرے بعد

نہ رہی دشت میں خالی کوئی جا میرے بعد

میان میں اس نے جو کی تیغ جفا میرے بعد

خوں گرفتہ کوئی کیا اور نہ تھا میرے بعد

دوستی کا بھی تجھے پاس نہ آیا ہے ہے

تو نے دشمن سے کیا میرا گلا میرے بعد

گرم بازاریٔ الفت ہے مجھی سے ورنہ

کوئی لینے کا نہیں نام وفا میرے بعد

منہ پہ لے دامن گل روئیں گے مرغان چمن

باغ میں خاک اڑائے گی صبا میرے بعد

چاک اسی غم سے گریبان کیا ہے میں نے

کون کھولے گا ترے بند قبا میرے بعد

اب تو ہنس ہنس کے لگاتا ہے وہ مہندی لیکن

خون رلا دے گا اسے رنگ حنا میرے بعد

میں تو گلزار سے دل تنگ چلا غنچہ روش

مجھ کو کیا پھر جو کوئی پھول کھلا میرے بعد

وہ ہوا خواہ چمن ہوں کہ چمن میں ہر صبح

پہلے میں جاتا تھا اور باد صبا میرے بعد

سن کے مرنے کی خبر یار مرے گھر آیا

یعنی مقبول ہوئی میری وفا میرے بعد

ذبح کر کے مجھے نادم یہ ہوا وہ قاتل

ہاتھ میں پھر کبھی خنجر نہ لیا میرے بعد

میری ہی زمزمہ سنجی سے چمن تھا آباد

کیا صیاد نے اک اک کو رہا میرے بعد

آ گیا بیچ میں اس زلف کی اک میں ناداں

نہ ہوا کوئی گرفتار بلا میرے بعد

قتل تو کرتے ہو پر خوب ہی پچھتاؤ گے

مجھ سا ملنے کا نہیں اہل وفا میرے بعد

برگ گل لائی صبا قبر پہ میری نہ نسیم

پھر گئی ایسی زمانے کی ہوا میرے بعد

گر پڑے آنکھ سے اس کی بھی یکایک آنسو

ذکر محفل میں جو کچھ میرا ہوا میرے بعد

زیر شمشیر یہی سوچ ہے مقتل میں مجھے

دیکھیے اب کسے لاتی ہے قضا میرے بعد

شرط یاری یہی ہوتی ہے کہ تو نے غافلؔ

بھول کر بھی نہ مجھے یاد کیا میرے بعد

منور خان غافل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aa Ke Sajjada-nashin Qais Hua Mere Baad

Munawar Khan Ghafil

aa ke sajjada-nashin qais hua mere baad
na rahi dasht mein KHali koi ja mere baad

miyan mein us ne jo ki tegh-e-jafa mere baad
KHun-girafta koi kya aur na tha mere baad

dosti ka bhi tujhe pas na aaya he he
tu ne dushman se kiya mera gila mere baad

garm-bazari-e-ulfat hai mujhi se warna
koi lene ka nahin nam-e-wafa mere baad

munh pe le daman-e-gul roenge murghan-e-chaman
bagh mein KHak uDaegi saba mere baad

chaak isi gham se gareban kiya hai main ne
kaun kholega tere band-e-qaba mere baad

ab to hans hans ke lagata hai wo mehndi lekin
KHun rula dega use rang-e-hina mere baad

main to gulzar se dil-tang chala ghuncha-rawish
mujh ko kya phir jo koi phul khila mere baad

wo hawa-KHwah-e-chaman hun ki chaman mein har subh
pahle main jata tha aur baad-e-saba mere baad

sun ke marne ki KHabar yar mere ghar aaya
yani maqbul hui meri wafa mere baad

zabh kar ke mujhe nadim ye hua wo qatil
hath mein phir kabhi KHanjar na liya mere baad

meri hi zamzama-sanji se chaman tha aabaad
kiya sayyaad ne ek ek ko riha mere baad

aa gaya bich mein us zulf ki ek main nadan
na hua koi giraftar-e-bala mere baad

qatl to karte ho par KHub hi pachhtaoge
mujh sa milne ka nahin ahl-e-wafa mere baad

barg-e-gul lai saba qabr pe meri na nasim
phir gai aisi zamane ki hua mere baad

gir paDe aankh se us ki bhi yakayak aansu
zikr mahfil mein jo kuchh mera hua mere baad

zer-e-shamshir yahi soch hai maqtal mein mujhe
dekhiye ab kise lati hai qaza mere baad

shart-e-yari yahi hoti hai ki tu ne 'ghafil'
bhul kar bhi na mujhe yaad kiya mere baad

(776) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aa Ke Sajjada-nashin Qais Hua Mere Baad written by Munawar Khan Ghafil at UrduPoint. Aa Ke Sajjada-nashin Qais Hua Mere Baad is one of the masterpieces written by Munawar Khan Ghafil. You can also find the complete poetry collection of Munawar Khan Ghafil by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munawar Khan Ghafil' above.

Aa Ke Sajjada-nashin Qais Hua Mere Baad is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aa Ke Sajjada-nashin Qais Hua Mere Baad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.