Gil Hai Aariz To Qadd-e-yar DaraKHt, Urdu Ghazal By Munawar Khan Ghafil

Gil Hai Aariz To Qadd-e-yar DaraKHt is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munawar Khan Ghafil. Gil Hai Aariz To Qadd-e-yar DaraKHt comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gil Hai Aariz To Qadd-e-yar DaraKHt on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گل ہے عارض تو قد یار درخت

منور خان غافل

گل ہے عارض تو قد یار درخت

کب ہو ایسا بہاردار درخت

رشک سے اک نہال قد کے ترے

کٹ گئے جل گئے ہزار درخت

خواہش‌ سنگ تھی جو مجنوں کو

قبر پر بھی ہے میوہ دار درخت

کس کی وحشت نے خاک اڑائی ہے

دشت میں ہیں جو پر غبار درخت

دامن یار اس سے الجھے گا

ہو نہ گلشن میں خار دار درخت

نالۂ کوہکن سے جل اٹھے

تھے جو بالائے کوہسار درخت

دست رنگیں کا اس کے کشتہ ہوں

ہو حنا کا سر مزار درخت

جس جگہ دفن تھا یہ سوختہ جاں

نہ اگا واں سے زینہار درخت

زینت خانہ باغ کون ہے آج

سجدہ کرتے ہیں بار دار درخت

برگ ملتے ہیں جو کف افسوس

کس کے غم میں ہیں سوگوار درخت

گلشن عشق کا تماشا دیکھ

سر منصور پھل ہے دار درخت

دیکھیں گر تیرے قد کی بالائی

سر اٹھائیں نہ زینہار درخت

بے ثمر اک رہا یہ نخل مراد

یوں تو پھولے پھلے ہزار درخت

تیری دوری میں اے گل خوبی

سوکھ کر ہو گئے ہیں زار درخت

صف بہ صف ہیں کھڑے جو گلشن میں

کب سے باندھے ہوئے قطار درخت

دیکھتے ہیں سوئے در گلزار

کس کے ہیں محو انتظار درخت

موسم گل ہے جوش مستی ہے

لائے گلشن میں برگ و بار درخت

جی میں آتا ہے مے کشی کیجے

تاک کر کوئی سایہ دار درخت

عالم شیب میں ہوں یوں غافلؔ

باغ میں جیسے بے بہار درخت

منور خان غافل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gil Hai Aariz To Qadd-e-yar DaraKHt

Munawar Khan Ghafil

gil hai aariz to qadd-e-yar daraKHt
kab ho aisa bahaar-dar daraKHt

rashk se ek nihaal qad ke tere
kaT gae jal gae hazar daraKHt

KHwahish-e-sang thi jo majnun ko
qabr par bhi hai mewa-dar daraKHt

kis ki wahshat ne KHak uDai hai
dasht mein hain jo pur-ghubar daraKHt

daman-e-yar us se uljhega
ho na gulshan mein KHar-dar daraKHt

nala-e-kohkan se jal uTThe
the jo baala-e-kohsar daraKHt

dast-e-rangin ka us ke kushta hun
ho hina ka sar-e-mazar daraKHt

jis jagah dafn tha ye soKHta-jaan
na uga wan se zinhaar daraKHt

zinat-e-KHana-bagh kaun hai aaj
sajda karte hain bar-dar daraKHt

barg malte hain jo kaf-e-afsos
kis ke gham mein hain sogwar daraKHt

gulshan-e-ishq ka tamasha dekh
sar-e-mansur phal hai dar daraKHt

dekhen gar tere qad ki baalai
sar uThaen na zinhaar daraKHt

be-samar ek raha ye naKHl-e-murad
yun to phule-phale hazar daraKHt

teri duri mein ai gul-e-KHubi
sukh kar ho gae hain zar daraKHt

saf-ba-saf hain khaDe jo gulshan mein
kab se bandhe hue qatar daraKHt

dekhte hain su-e-dar-e-gulzar
kis ke hain mahw-e-intizar daraKHt

mausam-e-gul hai josh-e-masti hai
lae gulshan mein barg-o-bar daraKHt

ji mein aata hai mai-kashi kije
tak kar koi saya-dar daraKHt

aalam-e-sheb mein hun yun 'ghafil'
bagh mein jaise be-bahaar daraKHt

(619) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gil Hai Aariz To Qadd-e-yar DaraKHt written by Munawar Khan Ghafil at UrduPoint. Gil Hai Aariz To Qadd-e-yar DaraKHt is one of the masterpieces written by Munawar Khan Ghafil. You can also find the complete poetry collection of Munawar Khan Ghafil by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munawar Khan Ghafil' above.

Gil Hai Aariz To Qadd-e-yar DaraKHt is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gil Hai Aariz To Qadd-e-yar DaraKHt, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.