Kisi Ke Main Libas-e-ariyat Ko Kya Samajhta Hun, Urdu Ghazal By Munawar Khan Ghafil

Kisi Ke Main Libas-e-ariyat Ko Kya Samajhta Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munawar Khan Ghafil. Kisi Ke Main Libas-e-ariyat Ko Kya Samajhta Hun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kisi Ke Main Libas-e-ariyat Ko Kya Samajhta Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کسی کے میں لباس عاریت کو کیا سمجھتا ہوں

منور خان غافل

کسی کے میں لباس عاریت کو کیا سمجھتا ہوں

پھٹے کپڑوں کو اپنی خلعت دیبا سمجھتا ہوں

جہاں دیوانہ کوئی اپنے سائے سے الجھتا ہے

اسے زلف مسلسل کا تری سودا سمجھتا ہوں

میں گو مجنوں ہوں پر مطلب نہیں کچھ کوہ و صحرا سے

سواد شہر ہی کو خیمۂ لیلےٰ سمجھتا ہوں

ہزاروں باغ دنیا میں تماشے میں نے دیکھے ہیں

دو رنگی کو زمانے کی گل‌ رعنا سمجھتا ہوں

نہیں مے خانۂ عالم میں مجھ سا مست و بے خود ہے

کہ شور حشر کو بھی قلقل مینا سمجھتا ہوں

عطا کی ہے خدا نے چشم وحدت بیں مجھے جیسے

جسے قطرہ سمجھتا تھا اسے دریا سمجھتا ہوں

ہمیں رہ رہ کے یاد آتا ہے ہنگام عتاب اس کا

دکھا کر آنکھ کہنا رہ تو جا کیسا سمجھتا ہوں

خط مشکیں کو ریحاں جانتا ہوں باغ عالم میں

تری چشم سیہ کو نرگس شہلا سمجھتا ہوں

برابر غیر کے بھی مرتبہ میرا نہیں افسوس

اگرچہ آپ کہتے ہیں تجھے اپنا سمجھتا ہوں

مقام امتحاں میں دیکھ لینا ایک دن صاحب

رقیب رو سیہ ٹھہرے گا کیا اتنا سمجھتا ہوں

نمود اتنی کہاں تھی شاعری میں میری اے غافلؔ

میں اس شہرت کو فیض صحبت گویاؔ سمجھتا ہوں

منور خان غافل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kisi Ke Main Libas-e-ariyat Ko Kya Samajhta Hun

Munawar Khan Ghafil

kisi ke main libas-e-ariyat ko kya samajhta hun
phaTe kapDon ko apni KHilat-e-diba samajhta hun

jahan diwana koi apne sae se ulajhta hai
use zulf-e-musalsal ka teri sauda samajhta hun

main go majnun hun par matlab nahin kuchh koh-o-sahra se
sawad-e-shahr hi ko KHema-e-laila samajhta hun

hazaron bagh-e-duniya mein tamashe main ne dekhe hain
do-rangi ko zamane ki gul-e-rana samajhta hun

nahin mai-KHana-e-alam mein mujh sa mast-o-be-KHud hai
ki shor-e-hashr ko bhi qulqul-e-mina samajhta hun

ata ki hai KHuda ne chashm-e-wahdat-e-bin mujhe jaise
jise qatra samajhta tha use dariya samajhta hun

hamein rah rah ke yaad aata hai hangam-e-itab us ka
dikha kar aankh kahna rah to ja kaisa samajhta hun

KHat-e-mushkin ko raihan jaanta hun bagh-e-alam mein
teri chashm-e-siyah ko nargis-e-shahla samajhta hun

barabar ghair ke bhi martaba mera nahin afsos
agarche aap kahte hain tujhe apna samajhta hun

maqam-e-imtihan mein dekh lena ek din sahab
raqib-e-ru-siyah Thahrega kya itna samajhta hun

numud itni kahan thi shaeri mein meri ai 'ghafil'
mein is shohrat ko faiz-e-sohbat-e-'goya' samajhta hun

(598) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kisi Ke Main Libas-e-ariyat Ko Kya Samajhta Hun written by Munawar Khan Ghafil at UrduPoint. Kisi Ke Main Libas-e-ariyat Ko Kya Samajhta Hun is one of the masterpieces written by Munawar Khan Ghafil. You can also find the complete poetry collection of Munawar Khan Ghafil by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munawar Khan Ghafil' above.

Kisi Ke Main Libas-e-ariyat Ko Kya Samajhta Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kisi Ke Main Libas-e-ariyat Ko Kya Samajhta Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.