KHafa Hona Zara Si Baat Par Talwar Ho Jaana, Urdu Ghazal By Munawwar Rana
KHafa Hona Zara Si Baat Par Talwar Ho Jaana is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munawwar Rana. KHafa Hona Zara Si Baat Par Talwar Ho Jaana comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHafa Hona Zara Si Baat Par Talwar Ho Jaana on this page of UrduPoint.
خفا ہونا ذرا سی بات پر تلوار ہو جانا
منور رانا
خفا ہونا ذرا سی بات پر تلوار ہو جانا
مگر پھر خود بہ خود وہ آپ کا گلنار ہو جانا
کسی دن میری رسوائی کا یہ کارن نہ بن جائے
تمہارا شہر سے جانا مرا بیمار ہو جانا
وہ اپنا جسم سارا سونپ دینا میری آنکھوں کو
مری پڑھنے کی کوشش آپ کا اخبار ہو جانا
کبھی جب آندھیاں چلتی ہیں ہم کو یاد آتا ہے
ہوا کا تیز چلنا آپ کا دیوار ہو جانا
بہت دشوار ہے میرے لیے اس کا تصور بھی
بہت آسان ہے اس کے لیے دشوار ہو جانا
کسی کی یاد آتی ہے تو یہ بھی یاد آتا ہے
کہیں چلنے کی ضد کرنا مرا تیار ہو جانا
کہانی کا یہ حصہ اب بھی کوئی خواب لگتا ہے
ترا سر پر بٹھا لینا مرا دستار ہو جانا
محبت اک نہ اک دن یہ ہنر تم کو سکھا دے گی
بغاوت پر اترنا اور خود مختار ہو جانا
نظر نیچی کیے اس کا گزرنا پاس سے میرے
ذرا سی دیر رکنا پھر صبا رفتار ہو جانا
منور رانا
© UrduPoint.com
All Rights Reserved
KHafa Hona Zara Si Baat Par Talwar Ho Jaana
Munawwar Rana
magar phir KHud-ba-KHud wo aap ka gulnar ho jaana
kisi din meri ruswai ka ye karan na ban jae
tumhaara shahr se jaana mera bimar ho jaana
wo apna jism sara saunp dena meri aankhon ko
meri paDhne ki koshish aap ka aKHbar ho jaana
kabhi jab aandhiyan chalti hain hum ko yaad aata hai
hawa ka tez chalna aap ka diwar ho jaana
bahut dushwar hai mere liye us ka tasawwur bhi
bahut aasan hai us ke liye dushwar ho jaana
kisi ki yaad aati hai to ye bhi yaad aata hai
kahin chalne ki zid karna mera tayyar ho jaana
kahani ka ye hissa ab bhi koi KHwab lagta hai
tera sar par biTha lena mera dastar ho jaana
mohabbat ek na ek din ye hunar tum ko sikha degi
baghawat par utarna aur KHud-muKHtar ho jaana
nazar nichi kiye us ka guzarna pas se mere
zara si der rukna phir saba-raftar ho jaana
(776) ووٹ وصول ہوئے
Related Munawwar Rana Poetry
More Munawwar Rana Poetry
پھینکی نہ منورؔ نے بزرگوں کی نشانی (ردیف .. ے)
Munawwar Rana - منور رانا
Phenki Na Munawar Ne Buzurgon Ki Nishani

کسی غریب کی برسوں کی آرزو ہو جاؤں
Munawwar Rana - منور رانا
Kisi Gharib Ki Barson Ki Aarzu Ho Jaun

میرے اسکول
Munawwar Rana - منور رانا
Mere School

ہم نہیں تھے تو کیا کمی تھی یہاں (ردیف .. ی)
Munawwar Rana - منور رانا
Hum Nahin The To Kya Kami Thi Yahan

یہ سوچ کے ماں باپ کی خدمت میں لگا ہوں (ردیف .. ا)
Munawwar Rana - منور رانا
Ye Soch Ke Man Bap Ki Khidmat Mein Laga Hun

کسی کو گھر ملا حصے میں یا کوئی دکاں آئی
Munawwar Rana - منور رانا
Kisi Ko Ghar Mila Hisse Mein Ya Koi Dukan Aai

چلے مقتل کی جانب اور چھاتی کھول دی ہم نے
Munawwar Rana - منور رانا
Chale Maqtal Ki Jaanib Aur Chhati Khol Di Humne

گھر میں رہتے ہوئے غیروں کی طرح ہوتی ہیں
Munawwar Rana - منور رانا
Ghar Mein Rahte Hue Ghairon Ki Tarah Hoti Hain

You can read KHafa Hona Zara Si Baat Par Talwar Ho Jaana written by Munawwar Rana at UrduPoint. KHafa Hona Zara Si Baat Par Talwar Ho Jaana is one of the masterpieces written by Munawwar Rana. You can also find the complete poetry collection of Munawwar Rana by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munawwar Rana' above.
KHafa Hona Zara Si Baat Par Talwar Ho Jaana is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHafa Hona Zara Si Baat Par Talwar Ho Jaana, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.
You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.