Manzar Se BichhaDne Ka Karb, Urdu Nazam By Muneer Ahmad Firdaus

Manzar Se BichhaDne Ka Karb is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Muneer Ahmad Firdaus. Manzar Se BichhaDne Ka Karb comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Manzar Se BichhaDne Ka Karb on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

منظر سے بچھڑنے کا کرب

منیر احمد فردوس

ہم اپنے منظر سے بچھڑے

آنکھوں میں اس کا عکس لئے بھٹک رہے ہیں

کوئی نئی رت ہمیں پناہ دینے لگتی ہے

تو اچانک۔۔۔

بے دعا لمحوں کو کچھ نیا سوجھتا ہے

اور سارا منظر بدل جاتا ہے

جہاں پر اسرار آہٹیں

ہمیں خوف کے جنگل میں چھوڑ آتی ہیں

بے منظری روز ہم سے شکوہ کرتی ہے

صبح جاگتے ہیں

تو ہمارے چہروں پر شام ہونے لگتی ہے

اجنبیت کی دھند ہمارا سایہ چھین چکی ہے

ہماری اپنی ذات میں فاصلے اتنے گہرے ہو گئے

کہ ہم خود اپنی ہی دسترس سے باہر ہو چکے

ہم اس منظر میں نہیں دفنائے جا سکتے

جس میں ہم نے جنم لیا تھا

ہم ایک مدت سے

آنکھوں کی گٹھڑی میں اپنے خواب باندھے

وقت کی دہلیز پر کھڑے چیخ رہے ہیں

لیکن ہماری آواز کسی اور منظر میں رہ گئی ہے

بے صوت پکار پر آسمان اشک بار ہوتا ہے

تو ہماری فصلوں میں بھوک چپکے سے گھس جاتی ہے

دشت نے ہمارے شاداب جسموں سے پانی نچوڑ کر

ان میں پیاس بھر دی ہے

ادراک کی سرحدوں کے اس پار

اپنے گمشدہ منظر کو ہم نے کبھی نہیں کھوجا

ہمیں خبر ہے۔۔۔

ہم سب نے مل کر اپنا منظر خود گنوایا ہے

اور اب ہم۔۔۔

اپنے قحط زدہ بدن میں چھپ کر بیٹھ گئے ہیں

منیر احمد فردوس

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Manzar Se BichhaDne Ka Karb

Muneer Ahmad Firdaus

hum apne manzar se bichhDe
aaankhon mein us ka aks liye bhaTak rahe hain
koi nai rut hamein panah dene lagti hai
to achanak
be-dua lamhon ko kuchh naya sujhta hai
aur sara manzar badal jata hai
jahan pur-asrar aahaTen
hamein KHauf ke jangal mein chhoD aati hain
be-manzari roz hum se shikwa karti hai
subh jagte hain
to hamare chehron par sham hone lagti hai
ajnabiyyat ki dhund hamara saya chhin chuki hai
hamari apni zat mein fasle itne gahre ho gae
ki hum KHud apni hi dastaras se bahar ho chuke
hum is manzar mein nahin dafnae ja sakte
jis mein hum ne janam liya tha
hum ek muddat se
aaankhon ki gaThDi mein apne KHwab bandhe
waqt ki dahliz par khaDe chiKH rahe hain
lekin hamari aawaz kisi aur manzar mein rah gai hai
be-saut pukar par aasman ashk-bar hota hai
to hamari faslon mein bhuk chupke se ghus jati hai

dasht ne hamare shadab jismon se pani nichoD kar
un mein pyas bhar di hai
idrak ki sarhadon ke us par
apne gum-shuda manzar ko hum ne kabhi nahin khoja
hamein KHabar hai
hum sab ne mil kar apna manzar KHud ganwaya hai
aur ab hum
apne qaht-zada badan mein chhup kar baiTh gae hain

(523) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Manzar Se BichhaDne Ka Karb written by Muneer Ahmad Firdaus at UrduPoint. Manzar Se BichhaDne Ka Karb is one of the masterpieces written by Muneer Ahmad Firdaus. You can also find the complete poetry collection of Muneer Ahmad Firdaus by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Ahmad Firdaus' above.

Manzar Se BichhaDne Ka Karb is a widely read Urdu Nazam. If you like Manzar Se BichhaDne Ka Karb, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.