Waqt Ek Kahani-kar, Urdu Nazam By Muneer Ahmad Firdaus

Waqt Ek Kahani-kar is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Muneer Ahmad Firdaus. Waqt Ek Kahani-kar comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Waqt Ek Kahani-kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وقت ایک کہانی کار

منیر احمد فردوس

وقت سب سے بڑا کہانی کار

جو ازل سے ہر چہرے پر

آفاقی کہانیاں لکھ کر

چہروں کو لمحہ بہ لمحہ داستاں کرنے میں مصروف

ایک کہانی کی تکمیل کے لئے

ان گنت کردار آسمان سے اترتے ہیں

سیاہ و سفید ساعتوں کی بارش میں بھیگتے کورے چہروں پر

وقت سزا جزا کی ایسی لا زوال کہانیاں تحریر کرتا ہے

کہ کتنے ہی چہرے کائنات کے عبرت کدے میں

آویزاں ہوتے ہیں

اور کتنے ہی روشنیوں کے استعارے بنتے ہیں

وقت کے پاس

آسمان سے اترتی کہانیوں کے

ان گنت ڈھیر لگے پڑے ہیں

جنہیں لکھ کر اسے

چہروں کی کتنی ہی ادھوری کتابیں مکمل کرنی ہیں

منیر احمد فردوس

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Waqt Ek Kahani-kar

Muneer Ahmad Firdaus

waqt sab se baDa kahani-kar
jo azal se har chehre par
aafaqi kahaniyan likh kar
chehron ko lamha-ba-lamha dastan karne mein masruf
ek kahani ki takmil ke liye
an-ginat kirdar aasman se utarte hain
siyah o safed saaton ki barish mein bhigte kore chehron par
waqt saza jaza ki aisi la-zawal kahaniyan tahrir karta hai
ki kitne hi chehre kaenat ke ibrat-kade mein
aawezan hote hain
aur kitne hi raushniyon ke istiare bante hain
waqt ke pas
aasman se utarti kahaniyon ke
an-ginat Dher lage paDe hain
jinhen likh kar use
chehron ki kitni hi adhuri kitaben mukammal karni hain

(503) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Waqt Ek Kahani-kar written by Muneer Ahmad Firdaus at UrduPoint. Waqt Ek Kahani-kar is one of the masterpieces written by Muneer Ahmad Firdaus. You can also find the complete poetry collection of Muneer Ahmad Firdaus by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Ahmad Firdaus' above.

Waqt Ek Kahani-kar is a widely read Urdu Nazam. If you like Waqt Ek Kahani-kar, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.