Maal-e-jaur Samjhe Aur Na Anjam-e-wafa Samjhe, Urdu Ghazal By Muneer Bhopali

Maal-e-jaur Samjhe Aur Na Anjam-e-wafa Samjhe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Bhopali. Maal-e-jaur Samjhe Aur Na Anjam-e-wafa Samjhe comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Maal-e-jaur Samjhe Aur Na Anjam-e-wafa Samjhe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مآل جور سمجھے اور نہ انجام وفا سمجھے

منیر بھوپالی

مآل جور سمجھے اور نہ انجام وفا سمجھے

نہ ان کا مدعا جانا نہ اپنا مدعا سمجھے

تم اس مدہوش کو کیوں شاکیٔ جور و وفا سمجھے

جو مصروف دعا رہ کر نہ مقصود دعا سمجھے

زمانہ میں ہزاروں صورتیں ہیں موت آنے کی

ہمیں کیوں کوئی اس کا کشتۂ تیغ ادا سمجھے

وفا کا تذکرہ بھی جرم ہے کیا کیوں بگڑتے ہو

ذرا سوچو تو کیا میں نے کہا اور آپ کیا سمجھے

اگر تو دشت غربت میں مرا ہو ہم سفر ناصح

تو رہزن تو کجا ریگ رواں کو رہنما سمجھے

جہاں میں بے نیازی کی اسے شانیں دکھانا ہیں

وہ کیوں پابند فطرت ہو وہ کیوں اچھا برا سمجھے

کسی کی شوخیٔ برق نظر کا ہے یہ آئینہ

منیرؔ اس اضطراب دل کو میرے کوئی کیا سمجھے

منیر بھوپالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Maal-e-jaur Samjhe Aur Na Anjam-e-wafa Samjhe

Muneer Bhopali

maal-e-jaur samjhe aur na anjam-e-wafa samjhe
na un ka muddaa jaana na apna muddaa samjhe

tum is madhosh ko kyon shaki-e-jaur-o-wafa samjhe
jo masruf-e-dua rah kar na maqsud-e-dua samjhe

zamane mein hazaron suraten hain maut aane ki
hamein kyon koi us ka kushta-e-tegh-e-ada samjhe

wafa ka tazkira bhi jurm hai kya kyon bigaDte ho
zara socho to kya main ne kaha aur aap kya samjhe

agar tu dasht-e-ghurbat mein mera ho ham-safar naseh
to rahzan to kuja reg-e-rawan ko rahnuma samjhe

jahan mein be-niyazi ki use shanen dikhana hain
wo kyon paband-e-fitrat ho wo kyon achchha bura samjhe

kisi ki shoKHi-e-barq-e-nazar ka hai ye aaina
'munir' is iztirab-e-dil ko mere koi kya samjhe

(530) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Maal-e-jaur Samjhe Aur Na Anjam-e-wafa Samjhe written by Muneer Bhopali at UrduPoint. Maal-e-jaur Samjhe Aur Na Anjam-e-wafa Samjhe is one of the masterpieces written by Muneer Bhopali. You can also find the complete poetry collection of Muneer Bhopali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Bhopali' above.

Maal-e-jaur Samjhe Aur Na Anjam-e-wafa Samjhe is a widely read Urdu Ghazal. If you like Maal-e-jaur Samjhe Aur Na Anjam-e-wafa Samjhe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.