Parda UTha Ke Chashm-e-taghaful-nigar Se Aap, Urdu Ghazal By Muneer Bhopali

Parda UTha Ke Chashm-e-taghaful-nigar Se Aap is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Bhopali. Parda UTha Ke Chashm-e-taghaful-nigar Se Aap comes under the Love category of Urdu Ghazal. You can read Parda UTha Ke Chashm-e-taghaful-nigar Se Aap on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پردہ اٹھا کے چشم تغافل نگر سے آپ

منیر بھوپالی

پردہ اٹھا کے چشم تغافل نگر سے آپ

دل کا جمال دیکھیے دل کی نظر سے آپ

غافل ہیں حسن و عشق خود اپنے اثر سے آپ

کچھ بے خبر سے ہم بھی ہیں کچھ بے خبر سے آپ

نظریں چرا رہے ہیں جو اہل نظر سے آپ

آئینہ کو چھپاتے ہیں آئینہ گر سے آپ

سہمی ہوئی دعائیں ہیں نالے ڈرے ہوئے

مایوس یوں کوئی نہ ہو اپنے اثر سے آپ

گرما رہی ہے قلب کو اک برق بے خودی

جلوے ہمیں دکھاتے ہیں آخر کدھر سے آپ

ہر ہر قدم پہ سجدوں کے ملتے ہیں کچھ نشاں

شاید کہ آج گزرے ہیں اس رہ گزر سے آپ

ہر ذرۂ نظر ہے گلستاں بنا ہوا

آئی بہار گزرے ہیں یا رہ گزر سے آپ

خودداریوں کا پاس بھی اے شان منفعل

مرعوب ہوں نہ چشم محبت اثر سے آپ

دشوار ہیں رسائیاں دامان دوست تک

قطرات اشک کھلتے نہیں چشم تر سے آپ

دیوار لا مکاں ہو کہ پردے حجاب کے

چھپتے نہیں ہیں چشم حقیقت نگر سے آپ

جلوے بھی خود نگاہ کے پردے میں اے منیرؔ

دیکھا انہیں تو چھپ گئے اپنی نظر سے آپ

منیر بھوپالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Parda UTha Ke Chashm-e-taghaful-nigar Se Aap

Muneer Bhopali

parda uTha ke chashm-e-taghaful-nigar se aap
dil ka jamal dekhiye dil ki nazar se aap

ghafil hain husn-o-ishq KHud apne asar se aap
kuchh be-KHabar se hum bhi hain kuchh be-KHabar se aap

nazren chura rahe hain jo ahl-e-nazar se aap
aaine ko chhupate hain aaina-gar se aap

sahmi hui duaen hain nale Dare hue
mayus yun koi na ho apne asar se aap

garma rahi hai qalb ko ek barq-e-be-KHudi
jalwe hamein dikhate hain aaKHir kidhar se aap

har har qadam pe sajdon ke milte hain kuchh nishan
shayad ki aaj guzre hain is rahguzar se aap

har zarra-e-nazar hai gulistan bana hua
aai bahaar guzre hain ya rahguzar se aap

KHuddariyon ka pas bhi ai shan-e-munfail
marub hon na chashm-e-mohabbat-asar se aap

dushwar hain rasaiyan daman-e-dost tak
qatraat-e-ashk khulte nahin chashm-e-tar se aap

diwar-e-la-makan ho ki parde hijab ke
chhupte nahin hain chashm-e-haqiqat-nigar se aap

jalwe bhi KHud nigah ke parde mein ai 'munir'
dekha unhen to chhup gae apni nazar se aap

(430) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Parda UTha Ke Chashm-e-taghaful-nigar Se Aap written by Muneer Bhopali at UrduPoint. Parda UTha Ke Chashm-e-taghaful-nigar Se Aap is one of the masterpieces written by Muneer Bhopali. You can also find the complete poetry collection of Muneer Bhopali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Bhopali' above.

Parda UTha Ke Chashm-e-taghaful-nigar Se Aap is a widely read Urdu Ghazal. If you like Parda UTha Ke Chashm-e-taghaful-nigar Se Aap, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.