Karta Hai Bagh-e-dahr Mein Nairangiyan Basant, Urdu Ghazal By Muneer Shikohabadi

Karta Hai Bagh-e-dahr Mein Nairangiyan Basant is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Shikohabadi. Karta Hai Bagh-e-dahr Mein Nairangiyan Basant comes under the Love, Social category of Urdu Ghazal. You can read Karta Hai Bagh-e-dahr Mein Nairangiyan Basant on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کرتا ہے باغ دہر میں نیرنگیاں بسنت

منیرؔ شکوہ آبادی

کرتا ہے باغ دہر میں نیرنگیاں بسنت

آیا ہے لاکھ رنگ سے اے باغباں بسنت

ہم رنگ کی ہے دون نکل اشرفی کے ساتھ

پاتا ہے آ کے رنگ طلائی یہاں بسنت

جوبن پر ان دنوں ہے بہار نشاط باغ

لیتا ہے پھول بھر کے یہاں جھولیاں بسنت

موباف زرد رنگ ہے سنبل کی چوٹ میں

کھوتا ہے بوئے گل کی پریشانیاں بسنت

نواب نامدار ظفرؔ جنگ کے حضور

گاتی ہے آ کے زہرۂ گردوں مکاں بسنت

جام عقیق زرد ہے نرگس کے ہاتھ میں

تقسیم کر رہا ہے مے ارغواں بسنت

ہوتے ہیں طائران چمن نرگسی کباب

کہہ دو کہ اس قدر نہ کرے گرمیاں بسنت

چہرے تمام زرد ہیں دولت کے رنگ سے

کوٹھی میں ہو گیا ہے سراپا عیاں بسنت

نیلا ہوا ہے منہ گل سوسن کا باغ میں

لیتا ہے اختلاط میں کیا چٹکیاں بسنت

کڑوے دھرے ہوئے ہیں جو نواب کے حضور

باہر ہے اپنے جامہ سے اے باغباں بسنت

پکھراج کے گلاسوں میں ہے لالہ گوں شراب

سونے کا پانی پی کے ہے رطب اللساں بسنت

سرسوں جو پھولی دیدۂ جام شراب میں

بنت العنب سے کرنے لگا شوخیاں بسنت

زیر قدم ہے فرش بسنتی حضور کے

مصروف پائے بوس میں ہے ہر زماں بسنت

میں گرد پوش ہو کے بنا شاخ زعفراں

لپٹا ہوا ہے میرے بدن سے یہاں بسنت

کرتا ہوں اب تمام دعا پر یہ چند شعر

آیا پسند مجمع اہل زماں بسنت

جب تک کہ محو قہقہہ ہوں گل ہزار میں

رنگین تار ہے صفت زعفراں بسنت

یا رب ہزار سال سلامت رہیں حضور

ہو روز جشن عید یہاں جاوداں بسنت

احباب سرخ رو رہیں دشمن ہوں زرد رو

جب تک منائیں مردم ہندوستاں بسنت

زردی کی طرح بیضۂ بلبل میں چھپ رہے

اس باغ سے نہ جائے میان خزاں بسنت

تقدیر میں تھی فرقت یاران لکھنؤ

اس شہر میں منیرؔ کہاں تھا کہاں بسنت

منیرؔ شکوہ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Karta Hai Bagh-e-dahr Mein Nairangiyan Basant

Muneer Shikohabadi

karta hai bagh-e-dahr mein nairangiyan basant
aaya hai lakh rang se ai baghban basant

ham-rang ki hai dun nikal ashrafi ke sath
pata hai aa ke rang-e-talai yahan basant

joban par in dinon hai bahaar-e-nashat-e-bagh
leta hai phul bhar ke yahan jholiyan basant

mubaf zard rang hai sumbul ki choT mein
khota hai bu-e-gul ki pareshaniyan basant

nawwab-e-nam-dar 'zafar-jang' ke huzur
gati hai aa ke zohra-e-gardun-makan basant

jam-e-aqiq zard hai nargis ke hath mein
taqsim kar raha hai mai-e-arghawan basant

hote hain tairan-e-chaman nargisi kabab
kah do ki is qadar na kare garmiyan basant

chehre tamam zard hain daulat ke rang se
koThi mein ho gaya hai sarapa ayan basant

nila hua hai munh gul-e-sausan ka bagh mein
leta hai iKHtilat mein kya chuTkiyan basant

kaDwe dhare hue hain jo nawwab ke huzur
bahar hai apne jame se ai baghban basant

pukhraj ke gilason mein hai lala-gun sharab
sone ka pani pi ke hai ratab-ul-lisan basant

sarson jo phuli dida-e-jam-e-sharab mein
bint-ul-anab se karne laga shoKHiyan basant

zer-e-qadam hai farsh-e-basanti huzur ke
masruf pa-e-boss mein hai har zaman basant

main gard-posh ho ke bana shaKH-e-zafaran
lipTa hua hai mere badan se yahan basant

karta hun ab tamam dua par ye chand sher
aaya pasand majma-e-ahl-e-zaman basant

jab tak ki mahw-e-qahqaha hun gul hazar mein
rangin tar hai sifat-e-zafaran basant

yarab hazar sal salamat rahen huzur
ho roz jashn-e-id yahan jawedan basant

ahbab surKH-ru rahen dushman hon zard-ru
jab tak manaen mardum-e-hindostan basant

zardi ki tarah baiza-e-bulbul mein chhup rahe
is bagh se na jae miyan-e-KHizan basant

taqdir mein thi furqat-e-yaran-e-lucknow
is shahr mein 'munir' kahan tha kahan basant

(433) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Karta Hai Bagh-e-dahr Mein Nairangiyan Basant written by Muneer Shikohabadi at UrduPoint. Karta Hai Bagh-e-dahr Mein Nairangiyan Basant is one of the masterpieces written by Muneer Shikohabadi. You can also find the complete poetry collection of Muneer Shikohabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Shikohabadi' above.

Karta Hai Bagh-e-dahr Mein Nairangiyan Basant is a widely read Urdu Ghazal. If you like Karta Hai Bagh-e-dahr Mein Nairangiyan Basant, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.