Meri Sham-e-anjuman Mein Gul Hai Gul Mein KHak Hai, Urdu Ghazal By Muneer Shikohabadi

Meri Sham-e-anjuman Mein Gul Hai Gul Mein KHak Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Shikohabadi. Meri Sham-e-anjuman Mein Gul Hai Gul Mein KHak Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Meri Sham-e-anjuman Mein Gul Hai Gul Mein KHak Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میری شمع انجمن میں گل ہے گل میں خاک ہے

منیرؔ شکوہ آبادی

میری شمع انجمن میں گل ہے گل میں خاک ہے

داغ سینہ کے چمن میں گل ہے گل میں خاک ہے

داغ دل کو خاکساروں کے لگایا تو نے منہ

غنچۂ تنگ دہن میں گل ہے گل میں خاک ہے

بعد ہر دن داغ ہے تیری کدورت کا مجھے

صحن داماں کفن میں گل ہے گل میں خاک ہے

یا مکدر ہو کے ڈوبا ہے مرا دل اے پری

یا تیری چاہ ذقن میں گل ہے گل میں خاک ہے

گرد غربت سے بھری ہے میرے مسکن کی بہار

دامن صبح وطن میں گل ہے گل میں خاک ہے

داغداروں نے کدورت سے بنا ان کا پلنگ

سنبل موج رسن میں گل ہے گل میں خاک ہے

وحشیٔ گیسو نے داغا ہاتھ اڑائے گرد غم

شاخ آہوئے ختن میں گل ہے گل میں خاک ہے

داغ چھلے کا سراپے میں کدورت زا ہوا

گل رخوں نخل بدن میں گل ہے گل میں خاک ہے

بن گیا ہے شیشۂ ساعت مگر فانوس شمع

عکس شعلہ کا لگن میں گل ہے گل میں خاک ہے

ساگروں کی پھول پینے سے ہوئی مٹی خراب

جام مے باغ سخن میں گل ہے گل میں خاک ہے

گرد ظلمت ڈالی لالے پر خزاں نے اے فلک

چاند کے بدلے گہن میں گل ہے گل میں خاک ہے

بالوں میں چھپ کر کرن پھول ان کا مٹی ہو گیا

افعئ گیسو کے پھن میں گل ہے گل میں خاک ہے

داغ دے کر ملتے ہیں یہ شمع رو مٹی کا عطر

رخت اہل انجمن میں گل ہے گل میں خاک ہے

عنصر خاکی ہوا برباد اہل داغ کا

ان دنوں وحشت کے بن میں گل ہے گل میں خاک ہے

زخم سر پر ڈالتا ہوں ان بتوں کی گرد راہ

اب کلاہ برہمن میں گل ہے گل میں خاک ہے

پھول پی پی کر مکدر ہو رہا ہے وہ صبیح

دیکھ لو نخل سمن میں گل ہے گل میں خاک ہے

ہے مکدر نور مہر اس رشک گل کے ہجر میں

گلشن چرخ کہن میں گل ہے گل میں خاک ہے

میرے دل میں داغ ہے ہر داغ میں ہے گرد غم

عندلیبو اس چمن میں گل ہے گل میں خاک ہے

پردہ میں ہے پھول سا منہ اور منہ پہ گرد خط

اس سحر کے پیرہن میں گل ہے گل میں خاک ہے

ماتھے پر ہے داغ سجدہ داغ میں گرد سجود

خط قسمت کی شکن میں گل ہے گل میں خاک ہے

گرد کلفت لائے ہے فصل بہاری اپنے ساتھ

شاخ ہر نخل چمن میں گل ہے گل میں خاک ہے

کیا کہوں اس مصرعہ فرمائشی میں اے منیرؔ

ہے ہرن گل میں ہرن میں گل ہے گل میں خاک ہے

منیرؔ شکوہ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Meri Sham-e-anjuman Mein Gul Hai Gul Mein KHak Hai

Muneer Shikohabadi

meri sham-e-anjuman mein gul hai gul mein KHak hai
dagh sine ke chaman mein gul hai gul mein KHak hai

dagh-e-dil ko KHaksaron ke lagaya tu ne munh
ghuncha-e-tang-e-dahan mein gul hai gul mein KHak hai

baad har din dagh hai teri kudurat ka mujhe
sahn-e-daman-e-kafan mein gul hai gul mein KHak hai

ya mukaddar ho ke Duba hai mera dil ai pari
ya teri chah-e-zaqan mein gul hai gul mein KHak hai

gard-e-ghurbat se bhari hai mere maskan ki bahaar
daman-e-subh-e-watan mein gul hai gul mein KHak hai

daghdaron ne kudurat se buna un ka palang
sumbul-e-mauj-e-rasan mein gul hai gul mein KHak hai

wahshi-e-gesu ne dagha hath uDae gard-e-gham
shaKH-e-ahu-e-KHutan mein gul hai gul mein KHak hai

dagh chhalle ka sarape mein kudurat-za hua
gul-ruKHon naKHl-e-badan mein gul hai gul mein KHak hai

ban gaya hai shisha-e-saat magar fanus-e-shama
aks shoale ka lagan mein gul hai gul mein KHak hai

sagaron ki phul pine se hui miTTi KHarab
jam-e-mai bagh-e-suKHan mein gul hai gul mein KHak hai

gard-e-zulmat Dali lale par KHizan ne ai falak
chand ke badle gahan mein gul hai gul mein KHak hai

baalon mein chhup kar kiran phul un ka miTTi ho gaya
afai-e-gesu ke phan mein gul hai gul mein KHak hai

dagh de kar malte hain ye shama-ru miTTi ka itr
raKHt-e-ahl-e-anjuman mein gul hai gul mein KHak hai

unsur-e-KHaki hua barbaad ahl-e-dagh ka
in dinon wahshat ke ban mein gul hai gul mein KHak hai

zaKHm-e-sar par Dalta hun un buton ki gard-e-rah
ab kulah-e-barahman mein gul hai gul mein KHak hai

phul pi pi kar mukaddar ho raha hai wo sabih
dekh lo naKHl-e-saman mein gul hai gul mein KHak hai

hai mukaddar nur-e-mehr us rashk-e-gul ke hijr mein
gulshan-e-charKH-e-kuhan mein gul hai gul mein KHak hai

mere dil mein dagh hai har dagh mein hai gard-e-gham
andalibo is chaman mein gul hai gul mein KHak hai

parde mein hai phul sa munh aur munh pe gard-e-KHat
is sahar ke pairahan mein gul hai gul mein KHak hai

mathe par hai dagh-e-sajda dagh mein gard-e-sujud
KHatt-e-qismat ki shikan mein gul hai gul mein KHak hai

gard-e-kulfat lae hai fasl-e-bahaari apne sath
shaKH-e-har-naKHl-e-chaman mein gul hai gul mein KHak hai

kya kahun is misra-e-farmaishi mein ai 'munir'
hai hiran gul mein hiran mein gul hai gul mein KHak hai

(436) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Meri Sham-e-anjuman Mein Gul Hai Gul Mein KHak Hai written by Muneer Shikohabadi at UrduPoint. Meri Sham-e-anjuman Mein Gul Hai Gul Mein KHak Hai is one of the masterpieces written by Muneer Shikohabadi. You can also find the complete poetry collection of Muneer Shikohabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Shikohabadi' above.

Meri Sham-e-anjuman Mein Gul Hai Gul Mein KHak Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Meri Sham-e-anjuman Mein Gul Hai Gul Mein KHak Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.