Muddaa Girya Se Kuchh Ishq Ka Izhaar Nahin, Urdu Ghazal By Munshi Bihari Lal Mushtaq Dehlwi

Muddaa Girya Se Kuchh Ishq Ka Izhaar Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munshi Bihari Lal Mushtaq Dehlwi. Muddaa Girya Se Kuchh Ishq Ka Izhaar Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Muddaa Girya Se Kuchh Ishq Ka Izhaar Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مدعا گریہ سے کچھ عشق کا اظہار نہیں

منشی بہاری لال مشتاق دہلوی

مدعا گریہ سے کچھ عشق کا اظہار نہیں

کیا کہوں تم سے کہ کہنے میں دل زار نہیں

اس میں کیا ذلت یوسف سر بازار نہیں

سامنے تیرے کوئی اس کا خریدار نہیں

ہو گیا آج سے بس علم قیافہ باطل

سادگی سے یہ کھلا تھا کہ ستم گار نہیں

سب طرح سے تو وہ اچھے ہیں پر اچھے کیا ہیں

اک یہی عیب ہے کیسا کہ وفادار نہیں

طلب بوسۂ رخسار کو جانے دیجے

کون سی بات ہے جس میں تمہیں انکار نہیں

یاں یہ منظور کہ مطلب کو زباں پر لائیں

واں ہے انگشت لبوں پر کہ خبردار نہیں

پوچھتے پوچھتے آ جاؤ میرے گھر کی طرف

ہے پتہ یہ کہ نشان در و دیوار نہیں

میرے رونے پہ وہ ہنس ہنس کے یہ کہنا تیرا

کہ تنک ظرف سے چھپتے کبھی اسرار نہیں

کوئی پس جائے کہ کٹ جائے بلا سے ان کی

کچھ خبر ان کو کسی کی دم رفتار نہیں

تار انفاس ہیں سینے کے نمایاں ورنہ

دیکھنے کو بھی گریباں میں کوئی تار نہیں

سچ تو یہ ہے کہ ہے مشتاقؔ عدو سے اچھا

ورنہ بندہ تو کسی کا بھی طرف دار نہیں

منشی بہاری لال مشتاق دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Muddaa Girya Se Kuchh Ishq Ka Izhaar Nahin

Munshi Bihari Lal Mushtaq Dehlwi

muddaa girya se kuchh ishq ka izhaar nahin
kya kahun tum se ki kahne mein dil-e-zar nahin

is mein kya zillat-e-yusuf sar-e-bazar nahin
samne tere koi us ka KHaridar nahin

ho gaya aaj se bas ilm-e-qiyafa baatil
sadgi se ye khula tha ki sitamgar nahin

sab tarah se to wo achchhe hain par achchhe kya hain
ek yahi aib hai kaisa ki wafadar nahin

talab-e-bosa-e-ruKHsar ko jaane dije
kaun si baat hai jis mein tumhein inkar nahin

yan ye manzur ki matlab ko zaban par laen
wan hai angusht labon par ki KHabar-dar nahin

puchhte puchhte aa jao mere ghar ki taraf
hai pata ye ki nishan-e-dar-o-diwar nahin

mere rone pe wo hans hans ke ye kahna tera
ki tunuk-zarf se chhupte kabhi asrar nahin

koi pis jae ki kaT jae bala se un ki
kuchh KHabar un ko kisi ki dam-e-raftar nahin

tar-e-anfas hain sine ke numayan warna
dekhne ko bhi gareban mein koi tar nahin

sach to ye hai ki hai 'mushtaq' adu se achchha
warna banda to kisi ka bhi taraf-dar nahin

(498) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Muddaa Girya Se Kuchh Ishq Ka Izhaar Nahin written by Munshi Bihari Lal Mushtaq Dehlwi at UrduPoint. Muddaa Girya Se Kuchh Ishq Ka Izhaar Nahin is one of the masterpieces written by Munshi Bihari Lal Mushtaq Dehlwi. You can also find the complete poetry collection of Munshi Bihari Lal Mushtaq Dehlwi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munshi Bihari Lal Mushtaq Dehlwi' above.

Muddaa Girya Se Kuchh Ishq Ka Izhaar Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Muddaa Girya Se Kuchh Ishq Ka Izhaar Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.