Koi Mujh Sa Mustahiqq-e-rahm-o-gham-KHwari Nahin, Urdu Ghazal By Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Koi Mujh Sa Mustahiqq-e-rahm-o-gham-KHwari Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi. Koi Mujh Sa Mustahiqq-e-rahm-o-gham-KHwari Nahin comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Koi Mujh Sa Mustahiqq-e-rahm-o-gham-KHwari Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کوئی مجھ سا مستحق رحم و غم خواری نہیں

منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

کوئی مجھ سا مستحق رحم و غم خواری نہیں

سو مرض ہیں اور بظاہر کوئی بیماری نہیں

ہر قدم پر باغ عالم میں بچھا ہے دام حسن

کون ایسا ہے جسے ذوق گرفتاری نہیں

دیکھے گر غور سے دنیا ہے غفلت کا طلسم

یہ بھی خواب عشق ہے فرقت سے بیداری نہیں

جان لے کر بھی جو ہاتھ آئے تو ارزاں جانیے

سہل ایسی جنس الفت کی خریداری نہیں

عشق کی ناکامیوں نے اس قدر کھینچا ہے طول

میرے غم خواروں کو اب یارائے غم خواری نہیں

مجھ سے ضبط درد الفت کی شکایت ہے فضول

اے دل ناداں تجھے احساس خود داری نہیں

میری دولت دیکھ کر کیوں تم نے ٹھنڈی سانس لی

بے کسوں پر رسم آئین ستم گاری نہیں

ہر طرف سے یہ صدا آتی ہے ملک حسن میں

یہ وہ دنیا ہے جہاں رسم وفاداری نہیں

ہو گیا شاید کہ صرف سوز غم سب خون دل

آنسوؤں کا اب وہ دریا آنکھ سے جاری نہیں

اس کو رحم آئے کہاں یہ نا امیدی میں امید

دل کو خوش کرنا ہے شغل گریہ و زاری نہیں

ہم ہیں چپ بیٹھے ہوئے لیکن ہے دل مصروف عشق

اس عدیم الفرصتی کا نام بیکاری نہیں

بند آنکھوں سے نظر آتی ہے ہر شے دہر کی

عالم رویا میں فرق خواب و بے داری نہیں

منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Koi Mujh Sa Mustahiqq-e-rahm-o-gham-KHwari Nahin

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

koi mujh sa mustahiqq-e-rahm-o-gham-KHwari nahin
sau maraz hain aur ba-zahir koi bimari nahin

har qadam par bagh-e-alam mein bichha hai dam-e-husn
kaun aisa hai jise zauq-e-giraftari nahin

dekhe gar ghaur se duniya hai ghaflat ka tilism
ye bhi KHwab-e-ishq hai furqat se bedari nahin

jaan le kar bhi jo hath aae to arzan jaaniye
sahal aisi jins-e-ulfat ki KHaridari nahin

ishq ki nakaamiyon ne is qadar khincha hai tul
mere gham-KHwaron ko ab yara-e-gham-KHwari nahin

mujh se zabt-e-dard-e-ulfat ki shikayat hai fuzul
ai dil-e-nadan tujhe ehsas-e-KHud-dari nahin

meri daulat dekh kar kyun tum ne ThanDi sans li
be-kason par rasm-e-ain-e-sitamgari nahin

har taraf se ye sada aati hai mulk-e-husn mein
ye wo duniya hai jahan rasm-e-wafadari nahin

ho gaya shayad ki sarf-e-soz-e-gham sab KHun-e-dil
aansuon ka ab wo dariya aankh se jari nahin

us ko rahm aae kahan ye na-umidi mein umid
dil ko KHush karna hai shaghl-e-girya-o-zari nahin

hum hain chup baiThe hue lekin hai dil masruf-e-ishq
is adim-ul-fursati ka nam bekari nahin

band aaankhon se nazar aati hai har shai dahr ki
aalam-e-ruya mein farq-e-KHwab-o-bedari nahin

(550) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Poetry

انتظار حشر کر سکتے نہیں ناکام عشق

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Intizar-e-hashr Kar Sakte Nahin Nakaam-e-ishq

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

وحشیوں کو قید سے چھوٹے ہوئے مدت ہوئی (ردیف .. ا)

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Wahshiyon Ko Qaid Se Chhute Hue Muddat Hui

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

شوق دل فکر دہن میں ہے جو رہبر کی طرح

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Shauq-e-dil Fikr-e-dahan Mein Hai Jo Rahbar Ki Tarah

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

بننے لگے ہیں داغ ستارے خوشا نصیب (ردیف .. ا)

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Banne Lage Hain Dagh Sitare Khusha Nasib

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

معنی طراز عشق ہر اک بادہ خوار تھا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Mani-taraaz-e-ishq Har Ek Baada-khwar Tha

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

ہجر میں ناشاد دنیا سے دل مضطر گیا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Hijr Mein Nashad Duniya Se Dil-e-muztar Gaya

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

ان کی رخصت اک قیامت تھی دم اظہار صبح

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Unki Rukhsat Ek Qayamat Thi Dam-e-izhaar-e-subh

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

خوگر لذت ہوں میں کس شوخ کی تعزیر کا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Khugar-e-lazzat Hun Main Kis Shokh Ki Tazir Ka

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

You can read Koi Mujh Sa Mustahiqq-e-rahm-o-gham-KHwari Nahin written by Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi at UrduPoint. Koi Mujh Sa Mustahiqq-e-rahm-o-gham-KHwari Nahin is one of the masterpieces written by Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi' above.

Koi Mujh Sa Mustahiqq-e-rahm-o-gham-KHwari Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Koi Mujh Sa Mustahiqq-e-rahm-o-gham-KHwari Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.