Pas-e-tauba Hadis-e-mutrib-o-paimana Kahte Hain, Urdu Ghazal By Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Pas-e-tauba Hadis-e-mutrib-o-paimana Kahte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi. Pas-e-tauba Hadis-e-mutrib-o-paimana Kahte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Pas-e-tauba Hadis-e-mutrib-o-paimana Kahte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پس توبہ حدیث مطرب و پیمانہ کہتے ہیں

منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

پس توبہ حدیث مطرب و پیمانہ کہتے ہیں

یہ اک بھولا ہوا پر آج ہم افسانہ کہتے ہیں

کوئی خون تمنا ہو جھلک آتا ہے آنکھوں میں

اسی کو اتحاد بادہ و پیمانہ کہتے ہیں

تباہی دل کی دیکھی ہے جو ہم نے اپنی آنکھوں سے

ہو اب کیسی ہی بستی ہم اسے ویرانہ کہتے ہیں

فنا ہونے میں سوز شمع کی منت کشی کیسی

جلے جو آگ میں اپنی اسے پروانہ کہتے ہیں

جفا پر صبر سیکھا ہے وفا پر جان جاتی ہے

یہی ہے اور کس کو تہمت مردانہ کہتے ہیں

تمہاری زلف پیچاں میں رہا کیوں کر دل وحشی

تڑا لے جائے جو زنجیر اسے دیوانہ کہتے ہیں

معاذ اللہ تیرا حسن تیری بزم عشرت میں

یہ وہ محفل ہے جس میں شمع کو پروانہ کہتے ہیں

یہاں تو جان تک دے دی نظرؔ پاداش الفت میں

مگر بیداد گر باقی ابھی جرمانہ کہتے ہیں

منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Pas-e-tauba Hadis-e-mutrib-o-paimana Kahte Hain

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

pas-e-tauba hadis-e-mutrib-o-paimana kahte hain
ye ek bhula hua par aaj hum afsana kahte hain

koi KHun-e-tamanna ho jhalak aata hai aaankhon mein
isi ko ittihad-e-baada-o-paimana kahte hain

tabahi dil ki dekhi hai jo hum ne apni aaankhon se
ho ab kaisi hi basti hum use virana kahte hain

fana hone mein soz-e-shama ki minnat-kashi kaisi
jale jo aag mein apni use parwana kahte hain

jafa par sabr sikha hai wafa par jaan jati hai
yahi hai aur kis ko tohmat-e-mardana kahte hain

tumhaari zulf-e-pechan mein raha kyun-kar dil-e-wahshi
tuDa le jae jo zanjir use diwana kahte hain

maaz-allah tera husn teri bazm-e-ishrat mein
ye wo mahfil hai jis mein shama ko parwana kahte hain

yahan to jaan tak de di 'nazar' padash-e-ulfat mein
magar bedad-gar baqi abhi jurmana kahte hain

(584) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Poetry

شوق دل فکر دہن میں ہے جو رہبر کی طرح

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Shauq-e-dil Fikr-e-dahan Mein Hai Jo Rahbar Ki Tarah

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

انتظار حشر کر سکتے نہیں ناکام عشق

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Intizar-e-hashr Kar Sakte Nahin Nakaam-e-ishq

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

کچھ خوشی سے ہمیں عشق ستم ایجاد نہیں

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Kuchh Khushi Se Hamin Ishq-e-sitam-ijad Nahin

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

کوئی ارماں تلاش دوست کا کیوں دل میں رہ جاتا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Koi Arman Talash-e-dost Ka Kyun Dil Mein Rah Jata

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

فنا ہونے میں سوز شمع کی منت کشی کیسی (ردیف .. ن)

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Fana Hone Mein Soz-e-shama Ki Minnat-kashi Kaisi

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

وہ تغافل کو علاج غم پنہاں سمجھا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Wo Taghaful Ko Ilaj-e-gham-e-pinhan Samjha

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

بعد مدت جو میں اے چرخ کہن یاد آیا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Baad Muddat Jo Main Ai Charkh-e-kuhan Yaad Aaya

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

ہاتھ رکھتے ہی تھا حال قلب مضطر آئینہ

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Hath Rakhte Hi Tha Haal-e-qalb-e-muztar Aaina

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

You can read Pas-e-tauba Hadis-e-mutrib-o-paimana Kahte Hain written by Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi at UrduPoint. Pas-e-tauba Hadis-e-mutrib-o-paimana Kahte Hain is one of the masterpieces written by Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi' above.

Pas-e-tauba Hadis-e-mutrib-o-paimana Kahte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Pas-e-tauba Hadis-e-mutrib-o-paimana Kahte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.