Ishq-e-sadiq Ne Dikhaya Ye Asar Aap Se Aap, Urdu Ghazal By Munshi Shiv Parshad Wahbi

Ishq-e-sadiq Ne Dikhaya Ye Asar Aap Se Aap is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munshi Shiv Parshad Wahbi. Ishq-e-sadiq Ne Dikhaya Ye Asar Aap Se Aap comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ishq-e-sadiq Ne Dikhaya Ye Asar Aap Se Aap on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عشق صادق نے دکھایا یہ اثر آپ سے آپ

منشی شیو پرشاد وہبی

عشق صادق نے دکھایا یہ اثر آپ سے آپ

ہو گئی ان کو مرے دل کی خبر آپ سے آپ

چشم جاناں کی اگر یاد نہیں آئی ہے

آ گئے جوش پہ کیوں دیدۂ تر آپ سے آپ

کچھ مزہ پڑ گیا ہے ان کو کہ بے وجہ و سبب

وصل کی شب وہ کیا کرتے ہیں شر آپ سے آپ

خفتہ بختی مری دکھلاتی ہے تاثیر اپنی

بجنے لگتا ہے شب وصل گجر آپ سے آپ

نہ موذن نے اذاں دی نہ ابھی توپ چلی

دفعتاً بول اٹھا مرغ سحر آپ سے آپ

بخدا ان کی طرف سے نہیں کچھ خواہش تھی

جان کا اپنی کیا ہم نے ضرر آپ سے آپ

غیر کو تم نے بٹھایا تو نہیں پہلو میں

آج اٹھتا ہے یہ کیوں درد جگر آپ سے آپ

جذب الفت تری تاثیر کا تب قائل ہوں

دیں تو وہ بوسۂ لب مجھ کو مگر آپ سے آپ

للہ الحمد کیا آہ نے اتنا تو اثر

بے طلب وہ چلے آئے مرے گھر آپ سے آپ

ہوگی تاثیر جو نالوں میں تمہارے وہبیؔ

تو چلا آئے گا وہ رشک قمر آپ سے آپ

منشی شیو پرشاد وہبی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ishq-e-sadiq Ne Dikhaya Ye Asar Aap Se Aap

Munshi Shiv Parshad Wahbi

ishq-e-sadiq ne dikhaya ye asar aap se aap
ho gai un ko mere dil ki KHabar aap se aap

chashm-e-jaanan ki agar yaad nahin aai hai
aa gae josh pe kyon dida-e-tar aap se aap

kuchh maza paD gaya hai un ko ki be-wajah-o-sabab
wasl ki shab wo kiya karte hain shar aap se aap

KHufta-baKHti meri dikhlati hai tasir apni
bajne lagta hai shab-e-wasl gajar aap se aap

na moazzin ne azan di na abhi top chali
dafatan bol uTha murgh-e-sahar aap se aap

ba-KHuda un ki taraf se nahin kuchh KHwahish thi
jaan ka apni kiya hum ne zarar aap se aap

ghair ko tum ne biThaya to nahin pahlu mein
aaj uThta hai ye kyon dard-e-jigar aap se aap

jazb-e-ulfat teri tasir ka tab qail hun
den to wo bosa-e-lab mujh ko magar aap se aap

lillah al-hamd kiya aah ne itna to asar
be-talab wo chale aae mere ghar aap se aap

hogi tasir jo nalon mein tumhaare 'wahbi'
to chala aaega wo rashk-e-qamar aap se aap

(396) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ishq-e-sadiq Ne Dikhaya Ye Asar Aap Se Aap written by Munshi Shiv Parshad Wahbi at UrduPoint. Ishq-e-sadiq Ne Dikhaya Ye Asar Aap Se Aap is one of the masterpieces written by Munshi Shiv Parshad Wahbi. You can also find the complete poetry collection of Munshi Shiv Parshad Wahbi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munshi Shiv Parshad Wahbi' above.

Ishq-e-sadiq Ne Dikhaya Ye Asar Aap Se Aap is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ishq-e-sadiq Ne Dikhaya Ye Asar Aap Se Aap, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.