Jaan Jati Hai Meri Un Ko KHabar Kuchh Bhi Nahin, Urdu Ghazal By Munshi Shiv Parshad Wahbi

Jaan Jati Hai Meri Un Ko KHabar Kuchh Bhi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munshi Shiv Parshad Wahbi. Jaan Jati Hai Meri Un Ko KHabar Kuchh Bhi Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jaan Jati Hai Meri Un Ko KHabar Kuchh Bhi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جان جاتی ہے مری ان کو خبر کچھ بھی نہیں

منشی شیو پرشاد وہبی

جان جاتی ہے مری ان کو خبر کچھ بھی نہیں

تجھ میں او نالۂ جاں سوز اثر کچھ بھی نہیں

تیغ ابرو وہ دکھا کر یہی فرماتے ہیں

اس کے آگے جو نہ ہو سینہ سپر کچھ بھی نہیں

حالت نزع میں تم آئے ہو کیوں کر دیکھوں

نور آنکھوں میں اب اے نور نظر کچھ بھی نہیں

گو خطائیں نہیں ہیں کچھ مری پر سب کچھ ہیں

ظلم و جور آپ کے سب کچھ ہیں مگر کچھ بھی نہیں

تپ فرقت نے یہاں اپنا کیا کام تمام

بے خبر آج تلک تجھ کو خبر کچھ بھی نہیں

رات دن اس رخ و گیسو کا تصور ہے مجھے

مشغلہ اس کے سوا شام و سحر کچھ بھی نہیں

عارضی حسن پہ نازاں ہیں عبث یہ مہوش

رات بھر نور کا عالم ہے سحر کچھ بھی نہیں

منزل گور میں کیا دیکھیے ہم پر گزرے

غم عصیاں کے سوا زاد سفر کچھ بھی نہیں

کیوں یم اشک میں تو نے نہ ڈبویا مجھ کو

آبرو اب تری او دیدۂ تر کچھ بھی نہیں

ہے بجا ہیچ جو سمجھے ہیں اسے سب شاعر

غور سے دیکھتے ہیں تو وہ کمر کچھ بھی نہیں

عالم خواب میں کس طرح جہاں کو سمجھوں

کیوں یہ سب کچھ نظر آتا ہے اگر کچھ بھی نہیں

عاشقی کر کے نہ پھل پاؤ گے ہرگز وہبیؔ

نخل الفت میں بجز داغ ثمر کچھ بھی نہیں

منشی شیو پرشاد وہبی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jaan Jati Hai Meri Un Ko KHabar Kuchh Bhi Nahin

Munshi Shiv Parshad Wahbi

jaan jati hai meri un ko KHabar kuchh bhi nahin
tujh mein o nala-e-jaan-soz asar kuchh bhi nahin

tegh-e-abru wo dikha kar yahi farmate hain
us ke aage jo na ho sina-sipar kuchh bhi nahin

haalat-e-naza mein tum aae ho kyunkar dekhun
nur aankhon mein ab ai nur-e-nazar kuchh bhi nahin

go KHataen nahin hain kuchh meri par sab kuchh hain
zulm-o-jaur aap ke sab kuchh hain magar kuchh bhi nahin

tap-e-furqat ne yahan apna kiya kaam tamam
be-KHabar aaj talak tujh ko KHabar kuchh bhi nahin

raat-din us ruKH-o-gesu ka tasawwur hai mujhe
mashghala is ke siwa sham-o-sahar kuchh bhi nahin

aarzi husn pe nazan hain abas ye mahwash
raat bhar nur ka aalam hai sahar kuchh bhi nahin

manzil-e-gor mein kya dekhiye hum par guzre
gham-e-isyan ke siwa zad-e-safar kuchh bhi nahin

kyon yam-e-ashk mein tu ne na Duboya mujh ko
aabru ab teri o dida-e-tar kuchh bhi nahin

hai baja hech jo samjhe hain use sab shair
ghaur se dekhte hain to wo kamar kuchh bhi nahin

aalam-e-KHwab mein kis tarah jahan ko samjhun
kyon ye sab kuchh nazar aata hai agar kuchh bhi nahin

aashiqi kar ke na phal paoge hargiz 'wahbi'
naKHl-e-ulfat mein ba-juz dagh-e-samar kuchh bhi nahin

(393) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jaan Jati Hai Meri Un Ko KHabar Kuchh Bhi Nahin written by Munshi Shiv Parshad Wahbi at UrduPoint. Jaan Jati Hai Meri Un Ko KHabar Kuchh Bhi Nahin is one of the masterpieces written by Munshi Shiv Parshad Wahbi. You can also find the complete poetry collection of Munshi Shiv Parshad Wahbi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munshi Shiv Parshad Wahbi' above.

Jaan Jati Hai Meri Un Ko KHabar Kuchh Bhi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jaan Jati Hai Meri Un Ko KHabar Kuchh Bhi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.