Dil Ko Piri Mein Mohabbat Ka Teri Josh Aaya, Urdu Ghazal By Munshi Thakur Parsad Talib

Dil Ko Piri Mein Mohabbat Ka Teri Josh Aaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munshi Thakur Parsad Talib. Dil Ko Piri Mein Mohabbat Ka Teri Josh Aaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Ko Piri Mein Mohabbat Ka Teri Josh Aaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل کو پیری میں محبت کا تری جوش آیا

منشی ٹھاکر پرساد طالب

دل کو پیری میں محبت کا تری جوش آیا

بے خودی شب کو رہی وقت سحر ہوش آیا

تیرے جلوے کا نظارہ نہ ہوا بار دگر

بے خودی کے ہیں یہ معنی کہ نہ پھر ہوش آیا

زہر گیسو نے مجھے مار ہی ڈالا تھا مگر

لب جاں بخش کے صدقہ میں مجھے ہوش آیا

ساقیا مے کدۂ دہر میں وہ مے کش ہوں

مرتے دم تک مجھے اپنا بھی نہ کچھ ہوش آیا

کس لئے جام‌ و صراحی میں ہے ساقی تاخیر

ابر پر شور پئے خاطر مے نوش آیا

دل کو پھر لالہ رخوں سے ہوئی الفت پیدا

عہد پیری میں جوانی کا مجھے جوش آیا

اس قدر شوق شہادت ہے مجھے اے قاتل

تیرے کوچے میں جو آیا تو کفن پوش آیا

جو دہر دہر سے وہ بار گنہ لے کے گیا

گو جب آیا تھا عدم سے تو سبک دوش آیا

خلعتیں زیر زمیں کون پنہا دیتا ہے

باغ عالم میں جو گل آیا قبا پوش آیا

واعظا کر سر منبر نہ مذمت مے کی

کچھ بنائے نہ بنے گی جو یہاں جوش آیا

حشر کے دن جو گنہ گاروں کی کثرت دیکھی

قلزم رحمت باری میں عجب جوش آیا

جس نے مے خانہ دنیا میں ذرا بھی پی لی

آ گئی موت پہ طالبؔ نہ اسے ہوش آیا

منشی ٹھاکر پرساد طالب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Ko Piri Mein Mohabbat Ka Teri Josh Aaya

Munshi Thakur Parsad Talib

dil ko piri mein mohabbat ka teri josh aaya
be-KHudi shab ko rahi waqt-e-sahar hosh aaya

tere jalwe ka nazara na hua bar-e-digar
be-KHudi ke hain ye mani ki na phir hosh aaya

zahr-e-gesu ne mujhe mar hi Dala tha magar
lab-e-jaan-baKHsh ke sadqe mein mujhe hosh aaya

saqiya mai-kada-e-dahr mein wo mai-kash hun
marte dam tak mujhe apna bhi na kuchh hosh aaya

kis liye jam-o-surahi mein hai saqi taKHir
abr-e-pur-shor pae-KHatir-e-mai-nosh aaya

dil ko phir lala-ruKHon se hui ulfat paida
ahd-e-piri mein jawani ka mujhe josh aaya

is qadar shauq-e-shahadat hai mujhe ai qatil
tere kuche mein jo aaya to kafan-posh aaya

jo dahr dahr se wo bar-e-gunah le ke gaya
go jab aaya tha adam se to subuk-dosh aaya

KHilaten zer-e-zamin kaun pinha deta hai
bagh-e-alam mein jo gul aaya qaba-posh aaya

waiza kar sar-e-mimbar na mazammat mai ki
kuchh banae na banegi jo yahan josh aaya

hashr ke din jo gunahgaron ki kasrat dekhi
qulzum-e-rahmat-e-bari mein ajab josh aaya

jis ne mai-KHana-e-duniya mein zara bhi pi li
aa gai maut pa 'talib' na use hosh aaya

(379) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Ko Piri Mein Mohabbat Ka Teri Josh Aaya written by Munshi Thakur Parsad Talib at UrduPoint. Dil Ko Piri Mein Mohabbat Ka Teri Josh Aaya is one of the masterpieces written by Munshi Thakur Parsad Talib. You can also find the complete poetry collection of Munshi Thakur Parsad Talib by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munshi Thakur Parsad Talib' above.

Dil Ko Piri Mein Mohabbat Ka Teri Josh Aaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Ko Piri Mein Mohabbat Ka Teri Josh Aaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.