Sham-e-gham Se Shab-e-andoh Se Chashm-e-tar Se, Urdu Ghazal By Mushtaq Anjum

Sham-e-gham Se Shab-e-andoh Se Chashm-e-tar Se is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mushtaq Anjum. Sham-e-gham Se Shab-e-andoh Se Chashm-e-tar Se comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sham-e-gham Se Shab-e-andoh Se Chashm-e-tar Se on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شام غم سے شب اندوہ سے چشم تر سے

مشتاق انجم

شام غم سے شب اندوہ سے چشم تر سے

باز آیا میں تری یاد کے اس لشکر سے

یاں شب و روز ہے مطلب کسے خیر و شر سے

زندگی کا ہے عجب سلسلہ سیم و زر سے

جو تجھے چاہا بتانا نہ بتایا پھر بھی

کب چھپا حال دل سوختہ نامہ بر سے

بعد تکمیل ہوئی گھر کی حقیقت معلوم

گھر کہاں بنتا ہے دیوار سے چھت سے در سے

مہربانوں میں ترا نام تو لکھا ہے مگر

خوب واقف ہوں مری جان ترے تیور سے

سر بچاتا ہوں تو پھر پاؤں نکل جاتے ہیں

عیب افلاس کا چھپتا ہی نہیں چادر سے

حرص کی دوڑ سے رہتا ہوں الگ اے انجمؔ

فیض پہنچا ہے مجھے درس گہہ قیصرؔ سے

مشتاق انجم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sham-e-gham Se Shab-e-andoh Se Chashm-e-tar Se

Mushtaq Anjum

sham-e-gham se shab-e-andoh se chashm-e-tar se
baz aaya main teri yaad ke us lashkar se

yan shab-o-roz hai matlab kise KHair-o-shar se
zindagi ka hai ajab silsila sim-o-zar se

jo tujhe chaha batana na bataya phir bhi
kab chhupa haal-e-dil-e-soKHta nama-bar se

baad-e-takmil hui ghar ki haqiqat malum
ghar kahan banta hai diwar se chhat se dar se

mehrbanon mein tera nam to likkha hai magar
KHub waqif hun meri jaan tere tewar se

sar bachata hun to phir panw nikal jate hain
aib iflas ka chhupta hi nahin chadar se

hirs ki dauD se rahta hun alag ai 'anjum'
faiz pahuncha hai mujhe dars-e-gah-e'qaisar' se

(489) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sham-e-gham Se Shab-e-andoh Se Chashm-e-tar Se written by Mushtaq Anjum at UrduPoint. Sham-e-gham Se Shab-e-andoh Se Chashm-e-tar Se is one of the masterpieces written by Mushtaq Anjum. You can also find the complete poetry collection of Mushtaq Anjum by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mushtaq Anjum' above.

Sham-e-gham Se Shab-e-andoh Se Chashm-e-tar Se is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sham-e-gham Se Shab-e-andoh Se Chashm-e-tar Se, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.