Aaj Bazm-e-naz Mein Wo Intishaar-e-naghma Hai, Urdu Ghazal By Muslim Ansari

Aaj Bazm-e-naz Mein Wo Intishaar-e-naghma Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muslim Ansari. Aaj Bazm-e-naz Mein Wo Intishaar-e-naghma Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aaj Bazm-e-naz Mein Wo Intishaar-e-naghma Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آج بزم ناز میں وہ انتشار نغمہ ہے

مسلم انصاری

آج بزم ناز میں وہ انتشار نغمہ ہے

ساز دل کی ہر صدا ناساز گار‌ نغمہ ہے

میرے ساز غم سے دنیا ہی نہیں ہے مضطرب

وسعت کون و مکاں بھی سوگوار نغمہ ہے

دست رنگیں میں کسی کے آ گیا پھر ساز دل

میرا ہر تار نفس پھر بیقرار نغمہ ہے

اس کو آئے گی نظر کیا خاک تصویر الم

جس کے دل کا آئنہ پر از غبار نغمہ ہے

جب سے شامل ہو گئی ہے نغمگیٔ ساز دل

میرا نالہ غیرت‌ کیف بہار نغمہ ہے

کاش ہوتا مسلمؔ رنگیں نوائے شوق بھی

آج کا ماحول کتنا سازگار نغمہ ہے

مسلم انصاری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aaj Bazm-e-naz Mein Wo Intishaar-e-naghma Hai

Muslim Ansari

aaj bazm-e-naz mein wo intishaar-e-naghma hai
saz-e-dil ki har sada na-sazgar-e-naghma hai

mere saz-e-gham se duniya hi nahin hai muztarib
wusat-e-kaun-o-makan bhi sogwar-e-naghma hai

dast-e-rangin mein kisi ke aa gaya phir saz-e-dil
mera har tar-e-nafas phir be-qarar-e-naghma hai

us ko aaegi nazar kya KHak taswir-e-alam
jis ke dil ka aaina pur-az ghubar-e-naghma hai

jab se shamil ho gai hai naghmagi-e-saz-e-dil
mera nala ghairat-e-kaif-e-bahaar-e-naghma hai

kash hota 'muslim'-e-rangin nawa-e-shauq bhi
aaj ka mahaul kitna sazgar-e-naghma hai

(609) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aaj Bazm-e-naz Mein Wo Intishaar-e-naghma Hai written by Muslim Ansari at UrduPoint. Aaj Bazm-e-naz Mein Wo Intishaar-e-naghma Hai is one of the masterpieces written by Muslim Ansari. You can also find the complete poetry collection of Muslim Ansari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muslim Ansari' above.

Aaj Bazm-e-naz Mein Wo Intishaar-e-naghma Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aaj Bazm-e-naz Mein Wo Intishaar-e-naghma Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.