Nau Sitambar Yaum-e-wafat-e-jigar Murad-abaadi, Urdu Nazam By Mustafa Rahi

Nau Sitambar Yaum-e-wafat-e-jigar Murad-abaadi is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Mustafa Rahi. Nau Sitambar Yaum-e-wafat-e-jigar Murad-abaadi comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Nau Sitambar Yaum-e-wafat-e-jigar Murad-abaadi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نو ستمبر یوم وفات جگر مراد آبادی

مصطفیٰ راہی

کتنی مغموم طبیعت تھی آج

دل کی دنیا میں قیامت تھی آج

یاد رہ رہ کے جگر آتے تھے

وہ محبت وہ حقیقت وہ مجاز

وہ تغزل وہ ترنم وہ گداز

لوگ دل تھام کے رہ جاتے تھے

آج کے دن نے یہ کیا ظلم کیا

پھر نیا درد نیا زخم دیا

صبر کر اے دل بے تاب و حزیں

ایک عظمت کا ستون اور گرا

ایک مشرق کا چراغ اور بجھا

حیف کہ ماﺅ بھی اب ہم میں نہیں

درد دل آئے نہ آئے لب تک

یہ زمیں اور فلک ہے جب تک

یاد آئیں گے ہمیشہ دونوں

ہر گلستاں میں ہر اک صحرا میں

چاند سورج کی طرح دنیا میں

جگمگائیں گے ہمیشہ دونوں

عقل حیران ہے دیوانوں پر

شمع احساس ہے پروانوں پر

کون کہتا ہے یہ نادانی ہے

مرحلہ موت کا آتا ہے مگر

آدمی مر کے بھی رہتا ہے امر

عشق ہر رنگ میں لا فانی ہے

مصطفیٰ راہی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nau Sitambar Yaum-e-wafat-e-jigar Murad-abaadi

Mustafa Rahi

kitni maghmum tabiat thi aaj
dil ki duniya mein qayamat thi aaj
yaad rah rah ke jigar aate the

wo mohabbat wo haqiqat wo majaz
wo taghazzul wo tarannum wo gudaz
log dil tham ke rah jate the

aaj ke din ne ye kya zulm kiya
phir naya dard naya zaKHm diya
sabr kar ai dil-e-be-tab-o-hazin

ek azmat ka sutun aur gira
ek mashriq ka charagh aur bujha
haif ki mao bhi ab hum mein nahin

dard-e-dil aae na aae lab tak
ye zamin aur falak hai jab tak
yaad aaenge hamesha donon

har gulistan mein har ek sahra mein
chand suraj ki tarah duniya mein
jagmagaenge hamesha donon

aql hairan hai diwanon par
shama ehsas hai parwanon par
kaun kahta hai ye nadani hai

marhala maut ka aata hai magar
aadmi mar ke bhi rahta hai amar
ishq har rang mein la-fani hai

(522) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nau Sitambar Yaum-e-wafat-e-jigar Murad-abaadi written by Mustafa Rahi at UrduPoint. Nau Sitambar Yaum-e-wafat-e-jigar Murad-abaadi is one of the masterpieces written by Mustafa Rahi. You can also find the complete poetry collection of Mustafa Rahi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mustafa Rahi' above.

Nau Sitambar Yaum-e-wafat-e-jigar Murad-abaadi is a widely read Urdu Nazam. If you like Nau Sitambar Yaum-e-wafat-e-jigar Murad-abaadi, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.