Qatre Mein Bhi Chhupe Hain Bhanwar Raqs Kijiye, Urdu Ghazal By Muzaffar Ali Syed

Qatre Mein Bhi Chhupe Hain Bhanwar Raqs Kijiye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muzaffar Ali Syed. Qatre Mein Bhi Chhupe Hain Bhanwar Raqs Kijiye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Qatre Mein Bhi Chhupe Hain Bhanwar Raqs Kijiye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

قطرے میں بھی چھپے ہیں بھنور رقص کیجیے

مظفر علی سید

قطرے میں بھی چھپے ہیں بھنور رقص کیجیے

قید صدف میں مثل گہر رقص کیجیے

کیجے فسردگیٔ طبیعت کا کچھ علاج

اس خاکداں میں مثل شرر رقص کیجیے

اک نوجواں نے آج بزرگوں سے کہہ دیا

ہوتی نہیں جو عمر بسر رقص کیجیے

سوجے ہیں پاؤں آنکھ سے ہی تال دیجئے

الجھا ہوا ہے تار نظر رقص کیجیے

گردش میں اک ستارۂ بے چارہ ہی نہیں

ہے آسماں بھی زیر و زبر رقص کیجیے

گزرے جو ماہ و سال تو لے بھی بدل گئی

اب کے برس بہ رنگ دگر رقص کیجیے

فریاد کیجیے نہ کوئی ظلم ڈھائیے

اک وہم ہے شکست و ظفر رقص کیجیے

اس طائفے میں ایک کمی ہے تو آپ کی

اے دشمنان علم و ہنر رقص کیجیے

فیشن ہے آج کل کا مداری کی ڈگڈگی

دل چاہے یا نہ چاہے مگر رقص کیجیے

اپنی تو جھونپڑی میں تھرکتا نہیں چراغ

جا کر کسی رقیب کے گھر رقص کیجیے

سیدؔ نہ ریڈیو نہ سنیما ہے آپ کا

اپنے ہی گیت گائیے اور رقص کیجیے

مظفر علی سید

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Qatre Mein Bhi Chhupe Hain Bhanwar Raqs Kijiye

Muzaffar Ali Syed

qatre mein bhi chhupe hain bhanwar raqs kijiye
qaid-e-sadaf mein misl-e-guhar raqs kijiye

kije fasurdagi-e-tabiat ka kuchh ilaj
is KHak-dan mein misl-e-sharar raqs kijiye

ek naujawan ne aaj buzurgon se kah diya
hoti nahin jo umr basar raqs kijiye

suje hain panw aankh se hi tal dijiye
uljha hua hai tar-e-nazar raqs kijiye

gardish mein ek sitara-e-be-chaara hi nahin
hai aasman bhi zer-o-zabar raqs kijiye

guzre jo mah-o-sal to lai bhi badal gai
ab ke baras ba-rang-e-digar raqs kijiye

fariyaad kijiye na koi zulm Dhaiye
ek wahm hai shikast-o-zafar raqs kijiye

is taife mein ek kami hai to aap ki
ai dushmanan-e-ilm-o-hunar raqs kijiye

fashion hai aaj-kal ka madari ki DugDugi
dil chahe ya na chahe magar raqs kijiye

apni to jhonpaDi mein thirakta nahin charagh
ja kar kisi raqib ke ghar raqs kijiye

'sayyad' na radio na cinema hai aap ka
apne hi git gaiye aur raqs kijiye

(543) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Qatre Mein Bhi Chhupe Hain Bhanwar Raqs Kijiye written by Muzaffar Ali Syed at UrduPoint. Qatre Mein Bhi Chhupe Hain Bhanwar Raqs Kijiye is one of the masterpieces written by Muzaffar Ali Syed. You can also find the complete poetry collection of Muzaffar Ali Syed by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muzaffar Ali Syed' above.

Qatre Mein Bhi Chhupe Hain Bhanwar Raqs Kijiye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Qatre Mein Bhi Chhupe Hain Bhanwar Raqs Kijiye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.