Suniye Payam-e-shams-o-qamar Raqs Kijiye, Urdu Ghazal By Muzaffar Ali Syed

Suniye Payam-e-shams-o-qamar Raqs Kijiye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muzaffar Ali Syed. Suniye Payam-e-shams-o-qamar Raqs Kijiye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Suniye Payam-e-shams-o-qamar Raqs Kijiye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سنیے پیام شمس و قمر رقص کیجیے

مظفر علی سید

سنیے پیام شمس و قمر رقص کیجیے

اس دائرے میں شام و سحر رقص کیجیے

پاکیزگی فضا کی ترنم نسیم کا

کیا چاندنی ہے پچھلے پہر رقص کیجیے

تالی بجا رہے ہیں شگوفے نئے نئے

آواز دے رہے ہیں شجر رقص کیجیے

کیا چھپ چھپا کے چھت کے تلے ناچ میں مزا

عریاں نکل کے در سے بدر رقص کیجیے

جی چاہتا ہے آج فرشتوں سے بھی کہوں

پرواز کیا ہے کھینچ کے پر رقص کیجیے

فرصت نہیں فقیہ کو زر کی تلاش سے

مطلق نہ کیجے خوف و خطر رقص کیجیے

گر اضطرار قابل تعزیر ہے تو ہو

ہے اپنے بس میں خیر نہ شر رقص کیجیے

دوزخ جلا کے درد کا اور آگہی کی آگ

دونوں کے درمیان اتر رقص کیجیے

تنہائیوں کے گیت نہ سب کو سنائیے

پاؤں ملا کے جوڑ کے سر رقص کیجیے

مت پوچھیے کہ پیار کا انجام کیا ہوا

پیارا چلا گیا ہے کدھر رقص کیجیے

مانند قیس ریت نہ صحرا کی چھانیے

کس کو ملی ہے کس کی خبر رقص کیجیے

کیجے طواف کوچۂ جاناں کو تیز تر

مضمر ہے اس میں سیر و سفر رقص کیجیے

سیدؔ قرار کو تو پڑی ہے تمام عمر

اک اور بھی غزل ہے اگر رقص کیجیے

مظفر علی سید

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Suniye Payam-e-shams-o-qamar Raqs Kijiye

Muzaffar Ali Syed

suniye payam-e-shams-o-qamar raqs kijiye
is daere mein sham-o-sahar raqs kijiye

pakizgi faza ki tarannum nasim ka
kya chandni hai pichhle pahar raqs kijiye

tali baja rahe hain shagufe nae nae
aawaz de rahe hain shajar raqs kijiye

kya chhup-chhupa ke chhat ke tale nach mein maza
uryan nikal ke dar se badar raqs kijiye

ji chahta hai aaj farishton se bhi kahun
parwaz kya hai khinch ke par raqs kijiye

fursat nahin faqih ko zar ki talash se
mutlaq na kije KHauf-o-KHatar raqs kijiye

gar iztirar qabil-e-tazir hai to ho
hai apne bas mein KHair na shar raqs kijiye

dozaKH jala ke dard ka aur aagahi ki aag
donon ke darmiyan utar raqs kijiye

tanhaiyon ke git na sab ko sunaiye
panw mila ke joD ke sar raqs kijiye

mat puchhiye ki pyar ka anjam kya hua
pyara chala gaya hai kidhar raqs kijiye

manind-e-qais ret na sahra ki chhaniye
kis ko mili hai kis ki KHabar raqs kijiye

kije tawaf-e-kucha-e-jaanan ko tez-tar
muzmar hai is mein sair-o-safar raqs kijiye

'sayyad' qarar ko to paDi hai tamam umr
ek aur bhi ghazal hai agar raqs kijiye

(541) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Suniye Payam-e-shams-o-qamar Raqs Kijiye written by Muzaffar Ali Syed at UrduPoint. Suniye Payam-e-shams-o-qamar Raqs Kijiye is one of the masterpieces written by Muzaffar Ali Syed. You can also find the complete poetry collection of Muzaffar Ali Syed by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muzaffar Ali Syed' above.

Suniye Payam-e-shams-o-qamar Raqs Kijiye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Suniye Payam-e-shams-o-qamar Raqs Kijiye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.