Abhi KHamosh Hain Sholon Ka Andaza Nahin Hota, Urdu Ghazal By Muzaffar Razmi

Abhi KHamosh Hain Sholon Ka Andaza Nahin Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muzaffar Razmi. Abhi KHamosh Hain Sholon Ka Andaza Nahin Hota comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Abhi KHamosh Hain Sholon Ka Andaza Nahin Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ابھی خاموش ہیں شعلوں کا اندازہ نہیں ہوتا

مظفر رزمی

ابھی خاموش ہیں شعلوں کا اندازہ نہیں ہوتا

مری بستی میں ہنگاموں کا اندازہ نہیں ہوتا

جدھر محسوس ہو خوشبو اسی جانب بڑھے جاؤ

اندھیری رات میں رستوں کا اندازہ نہیں ہوتا

جو صدیوں کی کسک لے کر گزر جاتے ہیں دنیا سے

مورخ کو بھی ان لمحوں کا اندازہ نہیں ہوتا

یہ رہبر ہیں کہ رہزن ہیں مسیحا ہیں کہ قاتل ہیں

ہمیں اپنے نمائندوں کا اندازہ نہیں ہوتا

نظر ہو لاکھ گہری اور بصیرت آشنا پھر بھی

نقابوں میں کبھی چہروں کا اندازہ نہیں ہوتا

زمیں پر آؤ پھر دیکھو ہماری اہمیت کیا ہے

بلندی سے کبھی ذروں کا اندازہ نہیں ہوتا

وفاؤں کے تسلسل سے بھی اکثر ٹوٹ جاتے ہیں

محبت کے حسیں رشتوں کا اندازہ نہیں ہوتا

اتر جاتے ہیں روح و دل میں کتنی وسعتیں لے کر

غزل کے دل ربا لہجوں کا اندازہ نہیں ہوتا

سلیقے سے سجانا آئینوں کو ورنہ اے رزمیؔ

غلط رخ ہو تو پھر چہروں کا اندازہ نہیں ہوتا

مظفر رزمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Abhi KHamosh Hain Sholon Ka Andaza Nahin Hota

Muzaffar Razmi

abhi KHamosh hain sholon ka andaza nahin hota
meri basti mein hangamon ka andaza nahin hota

jidhar mahsus ho KHushbu usi jaanib baDhe jao
andheri raat mein raston ka andaza nahin hota

jo sadiyon ki kasak le kar guzar jate hain duniya se
moarriKH ko bhi un lamhon ka andaza nahin hota

ye rahbar hain ki rahzan hain masiha hain ki qatil hain
hamein apne numaindon ka andaza nahin hota

nazar ho lakh gahri aur basirat-ashna phir bhi
naqabon mein kabhi chehron ka andaza nahin hota

zamin par aao phir dekho hamari ahmiyat kya hai
bulandi se kabhi zarron ka andaza nahin hota

wafaon ke tasalsul se bhi aksar TuT jate hain
mohabbat ke hasin rishton ka andaza nahin hota

utar jate hain ruh o dil mein kitni wusaten le kar
ghazal ke dilruba lahjon ka andaza nahin hota

saliqe se sajaana aainon ko warna ai 'razmi'
ghalat ruKH ho to phir chehron ka andaza nahin hota

(846) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Abhi KHamosh Hain Sholon Ka Andaza Nahin Hota written by Muzaffar Razmi at UrduPoint. Abhi KHamosh Hain Sholon Ka Andaza Nahin Hota is one of the masterpieces written by Muzaffar Razmi. You can also find the complete poetry collection of Muzaffar Razmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muzaffar Razmi' above.

Abhi KHamosh Hain Sholon Ka Andaza Nahin Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Abhi KHamosh Hain Sholon Ka Andaza Nahin Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.