Ghurur-e-ulfat Ki Tarz-e-nazish Ajab Karishme Dikha Rahi Hai, Urdu Ghazal By Muztar Khairabadi

Ghurur-e-ulfat Ki Tarz-e-nazish Ajab Karishme Dikha Rahi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muztar Khairabadi. Ghurur-e-ulfat Ki Tarz-e-nazish Ajab Karishme Dikha Rahi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ghurur-e-ulfat Ki Tarz-e-nazish Ajab Karishme Dikha Rahi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

غرور الفت کی طرز نازش عجب کرشمے دکھا رہی ہے

مضطر خیرآبادی

غرور الفت کی طرز نازش عجب کرشمے دکھا رہی ہے

ہماری روٹھی ہوئی نظر کو تری تجلی منا رہی ہے

وہ طور والی تری تجلی غضب کی گرمی دکھا رہی ہے

وہاں تو پتھر جلا دیے تھے یہاں کلیجہ جلا رہی ہے

مرے نشیمن میں شان قدرت کے سارے اسباب ہیں مہیا

ہوا صفائی پہ ہے مقرر چراغ بجلی جلا رہی ہے

نہ اس کے دامن سے میں ہی الجھا نہ میرے دامن سے یہ ہی اٹکی

ہوا سے میرا بگاڑ کیا ہے جو شمع تربت بجھا رہی ہے

فرشتے آئے اگر لحد میں تو صاف کہہ دوں گا راستہ لو

جب اس کی چاہت میں جان دے دی تو بات کہنے کو کیا رہی ہے

جمال قدرت مجھی کو دے دے کہ میں کلیجے کی چوٹ سیکوں

کلیم کے گھر میں رکھے رکھے وہ آگ اب کیا بنا رہی ہے

مضطر خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ghurur-e-ulfat Ki Tarz-e-nazish Ajab Karishme Dikha Rahi Hai

Muztar Khairabadi

ghurur-e-ulfat ki tarz-e-nazish ajab karishme dikha rahi hai
hamari ruThi hui nazar ko teri tajalli mana rahi hai

wo tur wali teri tajalli ghazab ki garmi dikha rahi hai
wahan to patthar jala diye the yahan kaleja jala rahi hai

mere nasheman mein shan-e-qudrat ke sare asbab hain muhayya
hawa safai pe hai muqarrar charagh bijli jala rahi hai

na us ke daman se main hi uljha na mere daman se ye hi aTki
hawa se mera bigaD kya hai jo sham-e-turbat bujha rahi hai

farishte aae agar lahad mein to saf kah dunga rasta lo
jab us ki chahat mein jaan de di to baat kahne ko kya rahi hai

jamal-e-qudrat mujhi ko de de ki main kaleje ki choT sekun
kalim ke ghar mein rakkhe rakkhe wo aag ab kya bana rahi hai

(443) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ghurur-e-ulfat Ki Tarz-e-nazish Ajab Karishme Dikha Rahi Hai written by Muztar Khairabadi at UrduPoint. Ghurur-e-ulfat Ki Tarz-e-nazish Ajab Karishme Dikha Rahi Hai is one of the masterpieces written by Muztar Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Muztar Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muztar Khairabadi' above.

Ghurur-e-ulfat Ki Tarz-e-nazish Ajab Karishme Dikha Rahi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ghurur-e-ulfat Ki Tarz-e-nazish Ajab Karishme Dikha Rahi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.