Kisi Ke Sang-e-dar Se Apni Mayyat Le Ke UTThenge, Urdu Ghazal By Muztar Khairabadi

Kisi Ke Sang-e-dar Se Apni Mayyat Le Ke UTThenge is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muztar Khairabadi. Kisi Ke Sang-e-dar Se Apni Mayyat Le Ke UTThenge comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kisi Ke Sang-e-dar Se Apni Mayyat Le Ke UTThenge on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کسی کے سنگ در سے اپنی میت لے کے اٹھیں گے

مضطر خیرآبادی

کسی کے سنگ در سے اپنی میت لے کے اٹھیں گے

یہی پتھر پئے تعویذ تربت لے کے اٹھیں گے

گئے وہ دن کہ ہم گرتے تھے اور ہمت اٹھاتی تھی

وہ دن آیا کہ اب ہم اپنی ہمت لے کے اٹھیں گے

اگر دل ہے تو تیرا درد الفت ساتھ جائے گا

کلیجا ہے تو تیرا داغ حسرت لے کے اٹھیں گے

یہ پیدا ہوتے ہی رونا صریحاً بدشگونی ہے

مصیبت میں رہیں گے اور مصیبت لے کے اٹھیں گے

خط قسمت مٹاتے ہو مگر اتنا سمجھ لینا

یہ حرف آرزو ہاتھوں کی رنگت لے کے اٹھیں گے

مجھے اپنی گلی میں دیکھ کر وہ ناز سے بولے

محبت سے دبے جاتے ہیں حسرت لے کے اٹھیں گے

ترے کوچے میں کیوں بیٹھے فقط اس واسطے بیٹھے

کہ جب اٹھیں گے اس دنیا سے جنت لے کے اٹھیں گے

ترا راز محبت لے کے آئے لے کے جائیں گے

امانت لے کے بیٹھے ہیں امانت لے کے اٹھیں گے

ہمیں اس نام جپنے کا مزا اس روز آئے گا

تمہارا نام جس دن زیر تربت لے کے اٹھیں گے

دم آخر ہم آنچل ان کا مضطرؔ کس طرح چھوڑیں

یہی تو ہے کفن جس کی بدولت لے کے اٹھیں گے

مضطر خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kisi Ke Sang-e-dar Se Apni Mayyat Le Ke UTThenge

Muztar Khairabadi

kisi ke sang-e-dar se apni mayyat le ke uTThenge
yahi patthar pae tawiz-e-turbat le ke uTThenge

gae wo din ki hum girte the aur himmat uThati thi
wo din aaya ki ab hum apni himmat le ke uTThenge

agar dil hai to tera dard-e-ulfat sath jaega
kaleja hai to tera dagh-e-hasrat le ke uTThenge

ye paida hote hi rona sarihan bad-shuguni hai
musibat mein rahenge aur musibat le ke uTThenge

KHat-e-qismat miTate ho magar itna samajh lena
ye harf-e-arzu hathon ki rangat le ke uTThenge

mujhe apni gali mein dekh kar wo naz se bole
mohabbat se dabe jate hain hasrat le ke uTThenge

tere kuche mein kyun baiThe faqat is waste baiThe
ki jab uTThenge is duniya se jannat le ke uTThenge

tera raaz-e-mohabbat le ke aae le ke jaenge
amanat le ke baiThe hain amanat le ke uTThenge

hamein is nam japne ka maza us roz aaega
tumhaara nam jis din zer-e-turbat le ke uTThenge

dam-e-aKHir hum aanchal un ka 'muztar' kis tarah chhoDen
yahi to hai kafan jis ki badaulat le ke uTThenge

(407) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kisi Ke Sang-e-dar Se Apni Mayyat Le Ke UTThenge written by Muztar Khairabadi at UrduPoint. Kisi Ke Sang-e-dar Se Apni Mayyat Le Ke UTThenge is one of the masterpieces written by Muztar Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Muztar Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muztar Khairabadi' above.

Kisi Ke Sang-e-dar Se Apni Mayyat Le Ke UTThenge is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kisi Ke Sang-e-dar Se Apni Mayyat Le Ke UTThenge, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.