Use Kyun Humne Diya Dil Jo Hai Be-mehri Mein Kaamil Jise Aadat Hai Jafa Ki, Urdu Two Lines By Muztar Khairabadi

Use Kyun Humne Diya Dil Jo Hai Be-mehri Mein Kaamil Jise Aadat Hai Jafa Ki is a famous Urdu Two Lines written by a famous poet, Muztar Khairabadi. Use Kyun Humne Diya Dil Jo Hai Be-mehri Mein Kaamil Jise Aadat Hai Jafa Ki comes under the Love, Sad category of Urdu Two Lines. You can read Use Kyun Humne Diya Dil Jo Hai Be-mehri Mein Kaamil Jise Aadat Hai Jafa Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اسے کیوں ہم نے دیا دل جو ہے بے مہری میں کامل جسے عادت ہے جفا کی (ردیف .. ا)

مضطر خیرآبادی

اسے کیوں ہم نے دیا دل جو ہے بے مہری میں کامل جسے عادت ہے جفا کی

جسے چڑھ مہر و وفا کی جسے آتا نہیں آنا غم و حسرت کا مٹانا جو ستم میں ہے یگانہ

جسے کہتا ہے زمانہ بت بے مہر و دغا باز جفا پیشہ فسوں ساز ستم خانہ بر انداز

غضب جس کا ہر اک ناز نظر فتنہ مژہ تیر بلا زلف گرہ گیر غم و رنج کا بانی قلق و درد

کا موجب ستم و جور کا استاد جفا کاری میں ماہر جو ستم کیش و ستم گر جو ستم پیشہ ہے

دلبر جسے آتی نہیں الفت جو سمجھتا نہیں چاہت جو تسلی کو نہ سمجھے جو تشفی کو نہ

جانے جو کرے قول نہ پورا کرے ہر کام ادھورا یہی دن رات تصور ہے کہ ناحق

اسے چاہا جو نہ آئے نہ بلائے نہ کبھی پاس بٹھائے نہ رخ صاف دکھائے نہ کوئی

بات سنائے نہ لگی دل کی بجھائے نہ کلی دل کی کھلائے نہ غم و رنج گھٹائے نہ رہ و رسم

بڑھائے جو کہو کچھ تو خفا ہو کہے شکوے کی ضرورت جو یہی ہے تو نہ چاہو جو نہ

چاہو گے تو کیا ہے نہ نباہو گے تو کیا ہے بہت اتراؤ نہ دل دے کے یہ کس کام کا دل

ہے غم و اندوہ کا مارا ابھی چاہوں تو میں رکھ دوں اسے تلووں سے مسل کر ابھی منہ

دیکھتے رہ جاؤ کہ ہیں ان کو ہوا کیا کہ انہوں نے مرا دل لے کے مرے ہاتھ سے کھویا

مضطر خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Use Kyun Humne Diya Dil Jo Hai Be-mehri Mein Kaamil Jise Aadat Hai Jafa Ki

Muztar Khairabadi

use kyun hum ne diya dil jo hai be-mehri mein kaamil jise aadat hai jafa ki
jise chiDh mehr-o-wafa ki jise aata nahin aana gham-o-hasrat ka miTana jo sitam mein hai yagana
jise kahta hai zamana but-e-be-mahr-o-dagha-baz jafa-pesha fusun-saz sitam-KHana-bar-andaz
ghazab jis ka har ek naz nazar fitna mizha tir bala zulf-e-girah-gir gham-o-ranj ka bani qalaq-o-dard
ka mujib sitam-o-jaur ka ustad jafa-kari mein mahir jo sitam-kesh-o-sitam-gar jo sitam-pesha hai
dilbar jise aati nahin ulfat jo samajhta nahin chahat jo tasalli ko na samjhe jo tashaffi ko na
jaane jo kare qaul na pura kare har kaam adhura yahi din-raat tasawwur hai ki nahaq
use chaha jo na aae na bulae na kabhi pas biThae na ruKH-e-saf dikhae na koi
baat sunae na lagi dil ki bujhae na kali dil ki khilae na gham-o-ranj ghaTae na rah-o-rasm
baDhae jo kaho kuchh to KHafa ho kahe shikwe ki zarurat jo yahi hai to na chaho jo na
chahoge to kya hai na nibahoge to kya hai bahut itrao na dil de ke ye kis kaam ka dil
hai gham-o-andoh ka mara abhi chahun to main rakh dun ise talwon se masal kar abhi munh
dekhte rah jao ki hain un ko hua kya ki inhon ne mera dil le ke mere hath se khoya

(6554) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Use Kyun Humne Diya Dil Jo Hai Be-mehri Mein Kaamil Jise Aadat Hai Jafa Ki written by Muztar Khairabadi at UrduPoint. Use Kyun Humne Diya Dil Jo Hai Be-mehri Mein Kaamil Jise Aadat Hai Jafa Ki is one of the masterpieces written by Muztar Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Muztar Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muztar Khairabadi' above.

Use Kyun Humne Diya Dil Jo Hai Be-mehri Mein Kaamil Jise Aadat Hai Jafa Ki is a widely read Urdu Two Lines. If you like Use Kyun Humne Diya Dil Jo Hai Be-mehri Mein Kaamil Jise Aadat Hai Jafa Ki, you will also like to read other famous Urdu Two Lines.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.