Zer-e-zamin Rahun Ki Tah-e-asman Rahun, Urdu Ghazal By Muztar Khairabadi

Zer-e-zamin Rahun Ki Tah-e-asman Rahun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muztar Khairabadi. Zer-e-zamin Rahun Ki Tah-e-asman Rahun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zer-e-zamin Rahun Ki Tah-e-asman Rahun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زیر زمیں رہوں کہ تہہ آسماں رہوں

مضطر خیرآبادی

زیر زمیں رہوں کہ تہہ آسماں رہوں

اے جستجوئے یار بتا میں کہاں رہوں

مصروف شکر نعمت پیر مغاں رہوں

اللہ مجھ کو یوں ہی پلائے جہاں رہوں

گھل کر بھی جانب در پیر غاں رہوں

موج شراب ناب بنوں اور رواں رہوں

یارب حریق شعلۂ عشق بتاں رہوں

دوزخ کی آگ لے کے مقیم جناں رہوں

ظالم یہ بزم حسن کا اچھا رواج ہے

تو شمع ہو کے بھی نہ جلے میں تپاں رہوں

اے چشم یار موت کا پہلو بچا کے تو

ایسی نگاہ ڈال کہ میں نیم جاں رہوں

آب حیات پی کے خضر کیا یہاں رہے

میں ٹھان لوں تو کچھ نہ پیوں اور یہاں رہوں

بن جائیں میری طرز فنا کی کہانیاں

ایسا مٹا کہ صاحب‌ نام و نشاں رہوں

ساقی وہ خاص طور کی تعلیم دے مجھے

اس میکدے میں جاؤں تو پیر مغاں رہوں

مضطرؔ وجود ذات نے گھر تک بھی لے لیا

جب خود وہ ہر جگہ ہے تو اب میں کہاں رہوں

مضطر خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zer-e-zamin Rahun Ki Tah-e-asman Rahun

Muztar Khairabadi

zer-e-zamin rahun ki tah-e-asman rahun
ai justuju-e-yar bata main kahan rahun

masruf-e-shukr-e-nemat-e-pir-e-mughan rahun
allah mujh ko yun hi pilae jahan rahun

ghul kar bhi jaanib-e-dar-e-pir-e-mughan rahun
mauj-e-sharab-e-nab banun aur rawan rahun

ya-rab hariq-e-shoala-e-ishq-e-butan rahun
dozaKH ki aag le ke muqim-e-jinan rahun

zalim ye bazm-e-husn ka achchha riwaj hai
tu shama ho ke bhi na jale main tapan rahun

ai chashm-e-yar maut ka pahlu bacha ke tu
aisi nigah Dal ki main nim-jaan rahun

aab-e-hayat pi ke KHizar kya yahan rahe
main Than lun to kuchh na piyun aur yahan rahun

ban jaen meri tarz-e-fana ki kahaniyan
aisa miTa ki sahib-e-nam-o-nishan rahun

saqi wo KHas-taur ki talim de mujhe
us mai-kade mein jaun to pir-e-mughan rahun

'muztar' wajud-e-zat ne ghar tak bhi le liya
jab KHud wo har jagah hai to ab main kahan rahun

(461) ووٹ وصول ہوئے

You can read Zer-e-zamin Rahun Ki Tah-e-asman Rahun written by Muztar Khairabadi at UrduPoint. Zer-e-zamin Rahun Ki Tah-e-asman Rahun is one of the masterpieces written by Muztar Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Muztar Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muztar Khairabadi' above.

Zer-e-zamin Rahun Ki Tah-e-asman Rahun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zer-e-zamin Rahun Ki Tah-e-asman Rahun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.