Shughl Hi Shughl Hai Aur Aah-e-sahar Se Kya Kaam, Urdu Ghazal By Muztar Muzaffarpuri

Shughl Hi Shughl Hai Aur Aah-e-sahar Se Kya Kaam is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muztar Muzaffarpuri. Shughl Hi Shughl Hai Aur Aah-e-sahar Se Kya Kaam comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shughl Hi Shughl Hai Aur Aah-e-sahar Se Kya Kaam on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شغل ہی شغل ہے اور آہ سحر سے کیا کام

مضطر مظفرپوری

شغل ہی شغل ہے اور آہ سحر سے کیا کام

درد مندان محبت کو اثر سے کیا کام

ابرو اپنی سلامت رہے زر سے کیا کام

اشک تر سے مجھے مطلب ہے گہر سے کیا کام

یاد سے گیسو و رخ کی جنہیں مطلب ٹھہرا

شام سے ان کو غرض کیا ہے سحر سے کیا کام

تو ہو زلفیں ہوں تری شانہ ہو آئینہ ہو

تجھ کو بے درد مرے درد جگر سے کیا کام

تیری الفت ہی نہیں دل میں تو دل سے مطلب

تیرا سودا ہی نہیں سر میں تو سر سے کیا کام

سرگزشت دل مجروح لکھی ظالم کو

ہجر میں ہم نے لیا خون جگر سے کیا کام

جن کو ہنس ہنس کے رلانا ہی فقط آتا ہو

ان کے دامن کو مرے دیدۂ تر سے کیا کام

دل نازک نہ دھڑک جائے کسی کا مضطرؔ

خون جب یہ ہو تو نالوں کو اثر سے کیا کام

مضطر مظفرپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shughl Hi Shughl Hai Aur Aah-e-sahar Se Kya Kaam

Muztar Muzaffarpuri

shughl hi shughl hai aur aah-e-sahar se kya kaam
dard-mandan-e-mohabbat ko asar se kya kaam

abru apni salamat rahe zar se kya kaam
ashk-e-tar se mujhe matlab hai guhar se kya kaam

yaad se gesu-o-ruKH ki jinhen matlab Thahra
sham se un ko gharaz kya hai sahar se kya kaam

tu ho zulfen hon teri shana ho aaina ho
tujh ko be-dard mere dard-e-jigar se kya kaam

teri ulfat hi nahin dil mein to dil se matlab
tera sauda hi nahin sar mein to sar se kya kaam

sarguzasht-e-dil-e-majruh likhi zalim ko
hijr mein hum ne liya KHun-e-jigar se kya kaam

jin ko hans hans ke rulana hi faqat aata ho
un ke daman ko mere dida-e-tar se kya kaam

dil-e-nazuk na dhaDak jae kisi ka 'muztar'
KHun jab ye ho to nalon ko asar se kya kaam

(394) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shughl Hi Shughl Hai Aur Aah-e-sahar Se Kya Kaam written by Muztar Muzaffarpuri at UrduPoint. Shughl Hi Shughl Hai Aur Aah-e-sahar Se Kya Kaam is one of the masterpieces written by Muztar Muzaffarpuri. You can also find the complete poetry collection of Muztar Muzaffarpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muztar Muzaffarpuri' above.

Shughl Hi Shughl Hai Aur Aah-e-sahar Se Kya Kaam is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shughl Hi Shughl Hai Aur Aah-e-sahar Se Kya Kaam, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.