Aarzu-e-dil-e-sad-chaak Hai Darman Hona, Urdu Ghazal By Nabiul Hasan Shamim

Aarzu-e-dil-e-sad-chaak Hai Darman Hona is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nabiul Hasan Shamim. Aarzu-e-dil-e-sad-chaak Hai Darman Hona comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aarzu-e-dil-e-sad-chaak Hai Darman Hona on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آرزوئے دل صد چاک ہے درماں ہونا

نبی الحسن شمیم

آرزوئے دل صد چاک ہے درماں ہونا

یعنی کچھ اور تری تیغ کا احساں ہونا

موت آنا ہے غم ہجر کا درماں ہونا

یہ وہ مشکل ہے کہ آسان نہیں آساں ہونا

مقصد زیست ہے قرباں بہ دل و جاں ہونا

نام احساس فرائض کا ہے انساں ہونا

بن گئے طائر تصویر قفس میں آ کر

راس آیا نہ اسیروں کو خوش الحاں ہونا

رہ گئی اب تو یہی ایک عبادت اپنی

یاد کر کر کے گناہوں کو پشیماں ہونا

باعث مرگ ہوئی جوشش شوق بسمل

اس کی قسمت میں نہ تھا آپ کا احساں ہونا

آئنہ دار حقیقت ہے خوشا جوش جنوں

ذرہ ذرہ کا بیاباں کے بیاباں ہونا

میری بالیں پہ نہ بیٹھو کہ بہت مشکل ہے

جان سے دور شریک غم پنہاں ہونا

مسکرا کر یہ پس قتل بھی کہتا ہے شمیمؔ

وہ بھی ہو جائے جو باقی ہے مری جاں ہونا

نبی الحسن شمیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aarzu-e-dil-e-sad-chaak Hai Darman Hona

Nabiul Hasan Shamim

aarzu-e-dil-e-sad-chaak hai darman hona
yani kuchh aur teri tegh ka ehsan hona

maut aana hai gham-e-hijr ka darman hona
ye wo mushkil hai ki aasan nahin aasan hona

maqsad-e-zist hai qurban ba-dil-o-jaan hona
nam ehsas-e-faraez ka hai insan hona

ban gae tair-e-taswir qafas mein aa kar
ras aaya na asiron ko KHush-ilhan hona

rah gai ab to yahi ek ibaadat apni
yaad kar kar ke gunahon ko pasheman hona

bais-e-marg hui joshish-e-shauq-e-bismil
us ki qismat mein na tha aap ka ehsan hona

aaina-dar-e-haqiqat hai KHusha josh-e-junun
zarre zarre ka bayaban ke bayaban hona

meri baalin pe na baiTho ki bahut mushkil hai
jaan se dur sharik-e-gham-e-pinhan hona

muskura kar ye pas-e-qatl bhi kahta hai 'shamim'
wo bhi ho jae jo baqi hai meri jaan hona

(496) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aarzu-e-dil-e-sad-chaak Hai Darman Hona written by Nabiul Hasan Shamim at UrduPoint. Aarzu-e-dil-e-sad-chaak Hai Darman Hona is one of the masterpieces written by Nabiul Hasan Shamim. You can also find the complete poetry collection of Nabiul Hasan Shamim by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nabiul Hasan Shamim' above.

Aarzu-e-dil-e-sad-chaak Hai Darman Hona is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aarzu-e-dil-e-sad-chaak Hai Darman Hona, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.