Pabandi-e-rahat Mujhe Manzur Nahin Hai, Urdu Ghazal By Nabiul Hasan Shamim

Pabandi-e-rahat Mujhe Manzur Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nabiul Hasan Shamim. Pabandi-e-rahat Mujhe Manzur Nahin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Pabandi-e-rahat Mujhe Manzur Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پابندیٔ راحت مجھے منظور نہیں ہے

نبی الحسن شمیم

پابندیٔ راحت مجھے منظور نہیں ہے

میں خوش ہوں کہ فطرت مری مجبور نہیں ہے

بالیں پہ ضیائے‌ رخ پر نور نہیں ہے

اب کوئی علاج دل رنجور نہیں ہے

اب کوئی جگہ حسن سے معمور نہیں ہے

اس دل کے سوا اور کوئی طور نہیں ہے

کرنا جو پڑے منت اغیار عجب کیا

یہ بھی مری تقدیر سے کچھ دور نہیں ہے

میں نے جو کہا جیتا ہوں امید وفا پر

فرمایا زمانے کا یہ دستور نہیں ہے

مرنے کی تمنا ہو کہ جینے کی ہو خواہش

اک بات بھی میری نہیں منظور نہیں ہے

ہم دیر سے ہوتے ہوئے اے شیخ چلیں گے

اس راہ سے کعبہ بھی کوئی دور نہیں ہے

او بت ترا پتھر کا کلیجا بھی ہو پانی

اللہ کی قدرت سے یہ کچھ دور نہیں ہے

پیمانہ بھرے دیتی ہیں ساقی کی نگاہیں

وہ آنکھ نہیں آج جو مخمور نہیں ہے

کیا روز دکھاتا ہے نہ جانے یہ دل زار

اب تک تو شمیمؔ آپ کا مشہور نہیں ہے

نبی الحسن شمیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Pabandi-e-rahat Mujhe Manzur Nahin Hai

Nabiul Hasan Shamim

pabandi-e-rahat mujhe manzur nahin hai
main KHush hun ki fitrat meri majbur nahin hai

baalin pe ziya-e-ruKH-e-pur-e-nur nahin hai
ab koi ilaj-e-dil-e-ranjur nahin hai

ab koi jagah husn se mamur nahin hai
is dil ke siwa aur koi tur nahin hai

karna jo paDe minnat-e-aghyar ajab kya
ye bhi meri taqdir se kuchh dur nahin hai

main ne jo kaha jita hun ummid-e-wafa par
farmaya zamane ka ye dastur nahin hai

marne ki tamanna ho ki jine ki ho KHwahish
ek baat bhi meri nahin manzur nahin hai

hum dair se hote hue ai shaiKH chalenge
is rah se kaba bhi koi dur nahin hai

o but tera patthar ka kaleja bhi ho pani
allah ki qudrat se ye kuchh dur nahin hai

paimana bhare deti hain saqi ki nigahen
wo aankh nahin aaj jo maKHmur nahin hai

kya roz dikhata hai na jaane ye dil-e-zar
ab tak to 'shamim' aap ka mashhur nahin hai

(439) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Pabandi-e-rahat Mujhe Manzur Nahin Hai written by Nabiul Hasan Shamim at UrduPoint. Pabandi-e-rahat Mujhe Manzur Nahin Hai is one of the masterpieces written by Nabiul Hasan Shamim. You can also find the complete poetry collection of Nabiul Hasan Shamim by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nabiul Hasan Shamim' above.

Pabandi-e-rahat Mujhe Manzur Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Pabandi-e-rahat Mujhe Manzur Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.