ZaKHm-e-paikan-e-sitam Laeq-e-izhaar Nahin, Urdu Ghazal By Nabiul Hasan Shamim

ZaKHm-e-paikan-e-sitam Laeq-e-izhaar Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nabiul Hasan Shamim. ZaKHm-e-paikan-e-sitam Laeq-e-izhaar Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read ZaKHm-e-paikan-e-sitam Laeq-e-izhaar Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زخم پیکان ستم لایق اظہار نہیں

نبی الحسن شمیم

زخم پیکان ستم لایق اظہار نہیں

ہم کو منظور علاج دل بیمار نہیں

دل مرا دیکھ کے کہتے ہیں کہ درکار نہیں

یہ بھی اک حسن طلب ہے کہ طلب گار نہیں

اک وفا ہے کہ انہیں یاد دلاتی ہے مری

اک یہی بات ہے جس سے انہیں انکار نہیں

مائل شوق اسیری ہے رہائی کیا ہے

وہ بھی آزاد نہیں ہے جو گرفتار نہیں

بے نیازی کی عجب شان ہے اللہ اللہ

اس کی دنیا ہے جو دنیا کا طلب گار نہیں

قید ہستی سے رہا ہوتا ہے تیرا وحشی

سانس زنجیر ہے اس کا بھی روادار نہیں

آتش عشق میں جلنے کو ہوا ہوں پیدا

ایک ذرہ بھی مری خاک کا بے کار نہیں

چشم ساقی کے اشاروں پہ نگاہیں رکھے

میکدے والوں میں اتنا کوئی ہشیار نہیں

بند کی آنکھ تو پھر ہم ہیں نہ دنیا ہے شمیمؔ

سفر منزل ہستی کوئی دشوار نہیں

نبی الحسن شمیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

ZaKHm-e-paikan-e-sitam Laeq-e-izhaar Nahin

Nabiul Hasan Shamim

zaKHm-e-paikan-e-sitam laeq-e-izhaar nahin
hum ko manzur ilaj-e-dil-e-bimar nahin

dil mera dekh ke kahte hain ki darkar nahin
ye bhi ek husn-e-talab hai ki talabgar nahin

ek wafa hai ki unhen yaad dilati hai meri
ek yahi baat hai jis se unhen inkar nahin

mail-e-shauq-e-asiri hai rihai kya hai
wo bhi aazad nahin hai jo giraftar nahin

be-niyazi ki ajab shan hai allah allah
us ki duniya hai jo duniya ka talabgar nahin

qaid-e-hasti se riha hota hai tera wahshi
sans zanjir hai us ka bhi rawadar nahin

aatish-e-ishq mein jalne ko hua hun paida
ek zarra bhi meri KHak ka bekar nahin

chashm-e-saqi ke ishaaron pe nigahen rakkhe
mai-kade walon mein itna koi hushiyar nahin

band ki aankh to phir hum hain na duniya hai 'shamim'
safar-e-manzil-e-hasti koi dushwar nahin

(471) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read ZaKHm-e-paikan-e-sitam Laeq-e-izhaar Nahin written by Nabiul Hasan Shamim at UrduPoint. ZaKHm-e-paikan-e-sitam Laeq-e-izhaar Nahin is one of the masterpieces written by Nabiul Hasan Shamim. You can also find the complete poetry collection of Nabiul Hasan Shamim by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nabiul Hasan Shamim' above.

ZaKHm-e-paikan-e-sitam Laeq-e-izhaar Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like ZaKHm-e-paikan-e-sitam Laeq-e-izhaar Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.