Arsa-e-KHwab Se UTh Halqa-e-tabir Mein Aa, Urdu Ghazal By Nadeem Sirsivi

Arsa-e-KHwab Se UTh Halqa-e-tabir Mein Aa is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nadeem Sirsivi. Arsa-e-KHwab Se UTh Halqa-e-tabir Mein Aa comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Arsa-e-KHwab Se UTh Halqa-e-tabir Mein Aa on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عرصۂ خواب سے اٹھ حلقۂ تعبیر میں آ

ندیم سرسوی

عرصۂ خواب سے اٹھ حلقۂ تعبیر میں آ

گمشدہ رعب جنوں کاسۂ تشہیر میں آ

انتہا مبدائے ہستی کی فنا ہے یا بقا

غور سے دیکھتے ہیں بخت کی تصویر میں آ

اے خرابات تنفر کے پریشان مکیں

گر سکوں چاہتا ہے عشق کی تعمیر میں آ

حدت دید نگاہوں کی عبارت سے نکل

اور یخ بستہ مرے روزن تحریر میں آ

چڑھ کے پھر سر پہ مرے بولے اسیری کا خمار

قید کر لے مجھے پھر زلف کی زنجیر میں آ

عہد ماضی کے خوش آئند بھٹکتے لمحے

وقت آ پہونچا ہے اب حال کی جاگیر میں آ

جل بجھے گرمیٔ انفاس سے دونوں کا وجود

گھولنے خود کو مرے قرب کی تاثیر میں آ

لذت وصل کو حاصل ہو زمیں کی جنت

مجھ سے ملنے کے لئے وادئ کشمیر میں آ

زیر پا رکھ کے سبھی عکس فسون تقدیر

پھر جواں ہونے کو گہوارۂ تدبیر میں آ

اے خزاں زاد اگر چاہتا ہے رزق بہار

دامن زیست لئے روضۂ شبیر میں آ

عاجزی کہنے لگی گر ہو بلندی کی طلب

دل جھکا دائرۂ نعرۂ تکبیر میں آ

دیا اگتے ہوئے سورج نے یہ پیغام ندیمؔ

ان اندھیروں سے نکل خیمۂ تنویر میں آ

ندیم سرسوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Arsa-e-KHwab Se UTh Halqa-e-tabir Mein Aa

Nadeem Sirsivi

arsa-e-KHwab se uTh halqa-e-tabir mein aa
gum-shuda roab-e-junun kasa-e-tashhir mein aa

intiha mabda-e-hasti ki fana hai ya baqa
ghaur se dekhte hain baKHt ki taswir mein aa

ai KHarabaat-e-tanaffur ke pareshan makin
gar sukun chahta hai ishq ki tamir mein aa

hiddat-e-did nigahon ki ibarat se nikal
aur yaKH-basta mere rauzan-e-tahrir mein aa

chaDh ke phir sar pe mere bole asiri ka KHumar
qaid kar le mujhe phir zulf ki zanjir mein aa

ahd-e-mazi ke KHush-aind bhaTakte lamhe
waqt aa pahuncha hai ab haal ki jagir mein aa

jal-bujhe garmi-e-anfas se donon ka wajud
gholne KHud ko mere qurb ki tasir mein aa

lazzat-e-wasl ko hasil ho zamin ki jannat
mujh se milne ke liye wadi-e-kashmir mein aa

zer-e-pa rakh ke sabhi aks-e-fusun-e-taqdir
phir jawan hone ko gahwara-e-tadbir mein aa

ai KHizan-zad agar chahta hai rizq-e-bahaar
daman-e-zist liye rauza-e-shabbir mein aa

aajizi kahne lagi gar ho bulandi ki talab
dil jhuka daira-e-nara-e-takbir mein aa

diya ugte hue suraj ne ye paigham 'nadim'
in andheron se nikal KHema-e-tanwir mein aa

(949) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Arsa-e-KHwab Se UTh Halqa-e-tabir Mein Aa written by Nadeem Sirsivi at UrduPoint. Arsa-e-KHwab Se UTh Halqa-e-tabir Mein Aa is one of the masterpieces written by Nadeem Sirsivi. You can also find the complete poetry collection of Nadeem Sirsivi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nadeem Sirsivi' above.

Arsa-e-KHwab Se UTh Halqa-e-tabir Mein Aa is a widely read Urdu Ghazal. If you like Arsa-e-KHwab Se UTh Halqa-e-tabir Mein Aa, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.