Ranj-o-gham Ki Jab Mere Dil Mein Farawani Na Thi, Urdu Ghazal By Nadim Ashrafi Burhanpuri

Ranj-o-gham Ki Jab Mere Dil Mein Farawani Na Thi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nadim Ashrafi Burhanpuri. Ranj-o-gham Ki Jab Mere Dil Mein Farawani Na Thi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ranj-o-gham Ki Jab Mere Dil Mein Farawani Na Thi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رنج و غم کی جب مرے دل میں فراوانی نہ تھی

نادم اشرفی برہانپوری

رنج و غم کی جب مرے دل میں فراوانی نہ تھی

جی رہا تھا میں مگر جینے میں آسانی نہ تھی

مجھ کو لے پہنچا جنون شوق ایسی بزم میں

جس جگہ کوئی بھی صورت جانی پہچانی نہ تھی

کس کو فرصت تھی اٹھاتا چاند کی جانب نظر

کیا ہمارے دل کے داغوں میں درخشانی نہ تھی

ایک ایسا وقت بھی گزرا ہے مجھ پر کیا کہوں

جب مری آواز اپنوں نے بھی پہچانی نہ تھی

یہ حقیقت تھی کہ تھا میرے تصور کا کمال

دور تیرے سنگ در سے میری پیشانی نہ تھی

ایسا لگتا ہے کہ کوئی انقلاب آنے کو ہے

ورنہ پہلے تو نظر کچھ اتنی دیوانی نہ تھی

نادم اشرفی برہانپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ranj-o-gham Ki Jab Mere Dil Mein Farawani Na Thi

Nadim Ashrafi Burhanpuri

ranj-o-gham ki jab mere dil mein farawani na thi
ji raha tha main magar jine mein aasani na thi

mujh ko le pahuncha junun-e-shauq aisi bazm mein
jis jagah koi bhi surat jaani-pahchani na thi

kis ko fursat thi uThata chand ki jaanib nazar
kya hamare dil ke daghon mein daraKHshani na thi

ek aisa waqt bhi guzra hai mujh par kya kahun
jab meri aawaz apnon ne bhi pahchani na thi

ye haqiqat thi ki tha mere tasawwur ka kamal
dur tere sang-e-dar se meri peshani na thi

aisa lagta hai ki koi inqalab aane ko hai
warna pahle to nazar kuchh itni diwani na thi

(408) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ranj-o-gham Ki Jab Mere Dil Mein Farawani Na Thi written by Nadim Ashrafi Burhanpuri at UrduPoint. Ranj-o-gham Ki Jab Mere Dil Mein Farawani Na Thi is one of the masterpieces written by Nadim Ashrafi Burhanpuri. You can also find the complete poetry collection of Nadim Ashrafi Burhanpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nadim Ashrafi Burhanpuri' above.

Ranj-o-gham Ki Jab Mere Dil Mein Farawani Na Thi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ranj-o-gham Ki Jab Mere Dil Mein Farawani Na Thi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.