Karishma-saz-o-sarapa-bahaar Hai Ki Nahin, Urdu Ghazal By Naim Hamid Ali

Karishma-saz-o-sarapa-bahaar Hai Ki Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naim Hamid Ali. Karishma-saz-o-sarapa-bahaar Hai Ki Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Karishma-saz-o-sarapa-bahaar Hai Ki Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کرشمہ ساز و سراپا بہار ہے کہ نہیں

نعیم حامد علی

کرشمہ ساز و سراپا بہار ہے کہ نہیں

شباب و حسن غزل با وقار ہے کہ نہیں

خزاں کا دور سہی یہ بتاؤ اہل چمن

یقین آمد فصل بہار ہے کہ نہیں

بجا کہ میکدہ ویراں ہے مسجدیں آباد

رئیس شہر بھی پرہیزگار ہے کہ نہیں

زباں خطیب کی مضموں رئیس شہر کا ہے

نمازیوں پہ یہ راز آشکار ہے کہ نہیں

نگاہ چاہئے تحلیل و تجزیے کے لئے

خزاں کا دور نوید بہار ہے کہ نہیں

ہمارا ماضی و حاضر بھی اک معمہ ہے

بہار تھی کہ نہیں تھی بہار ہے کہ نہیں

غزل تو کہتے ہیں سب ہم مگر یہ دیکھتے ہیں

وہ کرب عصر کی آئینہ دار ہے کہ نہیں

حجاب مانع جلوہ سہی نوید بھی ہے

خزاں نقاب نگار بہار ہے کہ نہیں

مدار بخشش و پرسش کا ہے نیت پہ نعیمؔ

امید رحمت پروردگار ہے کہ نہیں

نعیم حامد علی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Karishma-saz-o-sarapa-bahaar Hai Ki Nahin

Naim Hamid Ali

karishma-saz-o-sarapa-bahaar hai ki nahin
shabab-o-husn-e-ghazal ba-waqar hai ki nahin

KHizan ka daur sahi ye batao ahl-e-chaman
yaqin-e-amad-e-fasl-e-bahaar hai ki nahin

baja ki mai-kada viran hai masjiden aabaad
rais-e-shahr bhi parhez-gar hai ki nahin

zaban KHatib ki mazmun rais-e-shahr ka hai
namaziyon pe ye raaz aashkar hai ki nahin

nigah chahiye tahlil-o-tajziye ke liye
KHizan ka daur nawed-e-bahaar hai ki nahin

hamara mazi-o-hazir bhi ek muamma hai
bahaar thi ki nahin thi bahaar hai ki nahin

ghazal to kahte hain sab hum magar ye dekhte hain
wo karb-e-asr ki aaina-dar hai ki nahin

hijab mane-e-jalwa sahi nawed bhi hai
KHizan naqab-e-nigar-e-bahaar hai ki nahin

madar baKHshish-o-pursish ka hai niyat pe 'naim'
umid-e-rahmat-e-parwardigar hai ki nahin

(535) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Karishma-saz-o-sarapa-bahaar Hai Ki Nahin written by Naim Hamid Ali at UrduPoint. Karishma-saz-o-sarapa-bahaar Hai Ki Nahin is one of the masterpieces written by Naim Hamid Ali. You can also find the complete poetry collection of Naim Hamid Ali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naim Hamid Ali' above.

Karishma-saz-o-sarapa-bahaar Hai Ki Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Karishma-saz-o-sarapa-bahaar Hai Ki Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.