Panw Gardish Mein Hain Kitnon Ke Makan Ke Aage, Urdu Ghazal By Naim Siddiqi

Panw Gardish Mein Hain Kitnon Ke Makan Ke Aage is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naim Siddiqi. Panw Gardish Mein Hain Kitnon Ke Makan Ke Aage comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Panw Gardish Mein Hain Kitnon Ke Makan Ke Aage on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پاؤں گردش میں ہیں کتنوں کے مکاں کے آگے

نعیم صدیقی

پاؤں گردش میں ہیں کتنوں کے مکاں کے آگے

پیچھے سایہ کے یا برفاب گراں کے آگے

دل تو وہ ہے کہ کرے شوخ دلوں کی تسخیر

عہد پیری میں بھی ہر پیر و جواں کے آگے

ابن آدم کے لئے چاہئے اک عالم نو

ماہ و مریخ کے بے روح جہاں کے آگے

کیا کوئی راہ نہیں اہل تخیل کے لئے

غمزہ و عشوہ و انداز بتاں کے آگے

طرز ابہام جنوں ہو کہ فسوں کاری ہو

اس کی منزل نہیں انداز بیاں کے آگے

جب زمیں پر مجھے بننا تھا درندہ کا رقیب

میری پرواز ہو کیوں کون و مکاں کے آگے

صاف گوئی کو صداقت کی زیاں کوشی کو

کون مانے ہے دروغ دگراں کے آگے

ہم کو مسجد سے ہوا عشق نہ میخانے سے

کون سا جرم ہے اس جرم گراں کے آگے

نعیم صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Panw Gardish Mein Hain Kitnon Ke Makan Ke Aage

Naim Siddiqi

panw gardish mein hain kitnon ke makan ke aage
pichhe saya ke ya barfab-e-giran ke aage

dil to wo hai ki kare shoKH dilon ki tasKHir
ahd-e-piri mein bhi har pir-o-jawan ke aage

ibn-e-adam ke liye chahiye ek aalam-e-nau
mah-o-mirriKH ke be-ruh jahan ke aage

kya koi rah nahin ahal-e-taKHayyul ke liye
ghamza-o-ishwa-o-andaz-e-butan ke aage

tarz-e-ibham-e-junun ho ki fusun-kari ho
us ki manzil nahin andaz-e-bayan ke aage

jab zamin par mujhe banna tha darinda ka raqib
meri parwaz ho kyon kaun-o-makan ke aage

saf goi ko sadaqat ki ziyan-koshi ko
kaun mane hai darogh-e-digran ke aage

hum ko masjid se hua ishq na maiKHane se
kaun sa jurm hai is jurm-e-giran ke aage

(385) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Panw Gardish Mein Hain Kitnon Ke Makan Ke Aage written by Naim Siddiqi at UrduPoint. Panw Gardish Mein Hain Kitnon Ke Makan Ke Aage is one of the masterpieces written by Naim Siddiqi. You can also find the complete poetry collection of Naim Siddiqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naim Siddiqi' above.

Panw Gardish Mein Hain Kitnon Ke Makan Ke Aage is a widely read Urdu Ghazal. If you like Panw Gardish Mein Hain Kitnon Ke Makan Ke Aage, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.