Tabassum Ho Ki Aansu Chashm-e-tar Mein, Urdu Ghazal By Najm Aafandi

Tabassum Ho Ki Aansu Chashm-e-tar Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Najm Aafandi. Tabassum Ho Ki Aansu Chashm-e-tar Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tabassum Ho Ki Aansu Chashm-e-tar Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تبسم ہو کہ آنسو چشم تر میں

نجم آفندی

تبسم ہو کہ آنسو چشم تر میں

ہمیں ہم ہیں زمانے کی نظر میں

جہاں وسعت ہوئی فکر و نظر میں

بڑھے کچھ اور آنسو چشم تر میں

محبت کے جہاں معبد بنے ہیں

ہمارا خون ہے دیوار و در میں

غرور کارواں سے کوئی کہہ دے

بہت مارے پڑے ہیں رہ گزر میں

خبر کیا خانہ بربادوں کی تم کو

خدائی ہے خداوندی ہے گھر میں

شب غم رنگ لائی جاتے جاتے

لگا دی آگ دامان سحر میں

جفا ہو اپنی حد پر یا وفا ہو

بہت کم ہے محبت کی نظر میں

اجل آنے سے پہلے کچھ نہ سمجھے

بہت کچھ تھا حیات مختصر میں

نجم آفندی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tabassum Ho Ki Aansu Chashm-e-tar Mein

Najm Aafandi

tabassum ho ki aansu chashm-e-tar mein
hamin hum hain zamane ki nazar mein

jahan wusat hui fikr-o-nazar mein
baDhe kuchh aur aansu chashm-e-tar mein

mohabbat ke jahan mabad bane hain
hamara KHun hai diwar-o-dar mein

ghurur-e-karwan se koi kah de
bahut mare paDe hain rahguzar mein

KHabar kya KHana-barbaadon ki tum ko
KHudai hai KHudawandi hai ghar mein

shab-e-gham rang lai jate jate
laga di aag daman-e-sahar mein

jafa ho apni had par ya wafa ho
bahut kam hai mohabbat ki nazar mein

ajal aane se pahle kuchh na samjhe
bahut kuchh tha hayat-e-muKHtasar mein

(529) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tabassum Ho Ki Aansu Chashm-e-tar Mein written by Najm Aafandi at UrduPoint. Tabassum Ho Ki Aansu Chashm-e-tar Mein is one of the masterpieces written by Najm Aafandi. You can also find the complete poetry collection of Najm Aafandi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Najm Aafandi' above.

Tabassum Ho Ki Aansu Chashm-e-tar Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tabassum Ho Ki Aansu Chashm-e-tar Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.