KHuda Kaun Se Aasman Par Rahta Hai, Urdu Nazam By Najma Mansoor

KHuda Kaun Se Aasman Par Rahta Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Najma Mansoor. KHuda Kaun Se Aasman Par Rahta Hai comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read KHuda Kaun Se Aasman Par Rahta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خدا کون سے آسماں پر رہتا ہے

نجمہ منصور

اکثر اخبار میں

صبح سویرے لفظوں کے اندر

چھم چھم ناچتی خون کی بوندیں دیکھ کر

میں سوچ میں پڑ جاتی

خدا کون سے آسمان پر رہتا ہے

خود سے پوچھتی

سب سے پوچھتی

جواب میں ایک گھنی چپ

میرا منہ چڑھاتی

مگر آج اتنے سارے پھولوں کے جنازے دیکھے تو

میں نے

قطرہ قطرہ ٹپکتے خون کی حقیقت

تازہ گلاب کی حسرت

چڑیا کی اداسی اور

کوئل کی ہوک میں چھپی درد بنتی داستاں کو

جان لیا

بس اس دن سے

میں کسی سے نہیں پوچھتی کہ

خدا کون سے آسماں پر رہتا ہے

نجمہ منصور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHuda Kaun Se Aasman Par Rahta Hai

Najma Mansoor

aksar aKHbar mein
subh sawere lafzon ke andar
chham-chham nachti KHun ki bunden dekh kar
main soch mein paD jati
KHuda kaun se aasman par rahta hai
KHud se puchhti
sab se puchhti
jawab mein ek ghani chup
mera munh chiDati
magar aaj itne sare phulon ke janaze dekhe to
main ne
qatra qatra Tapakte KHun ki haqiqat
taza gulab ki hasrat
chiDiya ki udasi aur
koyal ki huk mein chhupi dard banti dastan ko
jaan liya
bas us din se
main kisi se nahin puchhti ki
KHuda kaun se aasman par rahta hai

(679) ووٹ وصول ہوئے

You can read KHuda Kaun Se Aasman Par Rahta Hai written by Najma Mansoor at UrduPoint. KHuda Kaun Se Aasman Par Rahta Hai is one of the masterpieces written by Najma Mansoor. You can also find the complete poetry collection of Najma Mansoor by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Najma Mansoor' above.

KHuda Kaun Se Aasman Par Rahta Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like KHuda Kaun Se Aasman Par Rahta Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.