Aabaad Gham-o-dard Se Virana Hai Us Ka, Urdu Ghazal By Naseem Dehlvi

Aabaad Gham-o-dard Se Virana Hai Us Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naseem Dehlvi. Aabaad Gham-o-dard Se Virana Hai Us Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aabaad Gham-o-dard Se Virana Hai Us Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آباد غم و درد سے ویرانہ ہے اس کا

نسیم دہلوی

آباد غم و درد سے ویرانہ ہے اس کا

ٹوٹا ہوا جو دل ہے وہ کاشانہ ہے اس کا

جس دل میں کہ ہے شوق وہ پیمانہ ہے اس کا

جس آنکھ میں ہے کیف وہ مے خانہ ہے اس کا

جب دیکھیے کہتا ہے وہی ذکر سناؤ

معلوم ہوا شوق بھی دیوانہ ہے اس کا

بے ہوش اگر میں ہوں تو باہوش کہاں ہے

جو خلق ہے اس دہر میں دیوانہ ہے اس کا

دن رات ہے یہ مسکن انوار تصور

سینہ جسے کہتے ہیں پری خانہ ہے اس کا

جوبن کی صفائی سے پھسلتی ہیں نگاہیں

پڑتی ہے جدھر آنکھ پری خانہ ہے اس کا

اے دل ہوس وصل سے مشتاق ہیں محروم

جاں اول دیدار میں بیگانہ ہے اس کا

جو سینہ روشن ہے وہ ہے منزل الفت

جو دل صفت شمع ہے پروانہ ہے اس کا

کہتے ہیں جسے حسن وہ ہے شمع جہاں تاب

کہتے ہیں جسے عشق وہ پروانہ ہے اس کا

جب فصل گل آتی ہے صدا دیتی ہے وحشت

زنجیر کا گل نالۂ مستانہ ہے اس کا

دیکھا تو سفر روح کو ہوتا ہے اسی سے

کہتے ہیں جسے موت وہ پروانہ ہے اس کا

گوہر سے فزوں دیدۂ عاشق کے ہیں آنسو

دامن میں ہے معشوق کے جو دانہ ہے اس کا

کچھ رتبہ عاشق سے بھی اے جاں ہو خبردار

سامان کئی روز سے شاہانہ ہے اس کا

منہ عاشق صادق کے نہ چڑھ واعظ مکار

ہر حال میں جو حال ہے رندانہ ہے اس کا

آگاہ نہیں قصۂ منصور سے اے دل

دشمن ہوں زن‌ و مرد وہ یارانہ ہے اس کا

کیا پوچھتے ہو حال نسیمؔ جگر افگار

دیکھا جسے خوش وضع وہ دیوانہ ہے اس کا

نسیم دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aabaad Gham-o-dard Se Virana Hai Us Ka

Naseem Dehlvi

aabaad gham-o-dard se virana hai us ka
TuTa hua jo dil hai wo kashana hai us ka

jis dil mein ki hai shauq wo paimana hai us ka
jis aankh mein hai kaif wo mai-KHana hai us ka

jab dekhiye kahta hai wahi zikr sunao
malum hua shauq bhi diwana hai us ka

behosh agar main hun to ba-hosh kahan hai
jo KHalq hai is dahr mein diwana hai us ka

din-raat hai ye maskan-e-anwar-e-tasawwur
sina jise kahte hain pari-KHana hai us ka

joban ki safai se phisalti hain nigahen
paDti hai jidhar aankh pari-KHana hai us ka

ai dil hawas-e-wasl se mushtaq hain mahrum
jaan awwal-e-didar mein begana hai us ka

jo sina-e-raushan hai wo hai manzil-e-ulfat
jo dil sifat-e-shama hai parwana hai us ka

kahte hain jise husn wo hai shama-e-jahan-tab
kahte hain jise ishq wo parwana hai us ka

jab fasl-e-gul aati hai sada deti hai wahshat
zanjir ka gul nala-e-mastana hai us ka

dekha to safar ruh ko hota hai usi se
kahte hain jise maut wo parwana hai us ka

gauhar se fuzun dida-e-ashiq ke hain aansu
daman mein hai mashuq ke jo dana hai us ka

kuchh rutba-e-ashiq se bhi ai jaan ho KHabar-dar
saman kai roz se shahana hai us ka

munh aashiq-e-sadiq ke na chaDh waiz-e-makkar
har haal mein jo haal hai rindana hai us ka

aagah nahin qissa-e-mansur se ai dil
dushman hon zan-o-mard wo yarana hai us ka

kya puchhte ho haal-e-'nasim'-e-jigar-afgar
dekha jise KHush-waza wo diwana hai us ka

(479) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aabaad Gham-o-dard Se Virana Hai Us Ka written by Naseem Dehlvi at UrduPoint. Aabaad Gham-o-dard Se Virana Hai Us Ka is one of the masterpieces written by Naseem Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Naseem Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naseem Dehlvi' above.

Aabaad Gham-o-dard Se Virana Hai Us Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aabaad Gham-o-dard Se Virana Hai Us Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.