Shikayat Ke Ewaz Hum Shukr Karte Hain Sanam Tere, Urdu Ghazal By Naseem Dehlvi

Shikayat Ke Ewaz Hum Shukr Karte Hain Sanam Tere is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naseem Dehlvi. Shikayat Ke Ewaz Hum Shukr Karte Hain Sanam Tere comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shikayat Ke Ewaz Hum Shukr Karte Hain Sanam Tere on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شکایت کے عوض ہم شکر کرتے ہیں صنم تیرے

نسیم دہلوی

شکایت کے عوض ہم شکر کرتے ہیں صنم تیرے

مزا دینے لگے کچھ سہتے سہتے اب ستم تیرے

نہ پوچھ اب مجھ سے تو میری امیدوں کی یہ صورت ہے

کہ ہیں بھی اور نہیں بھی جس طرح پر لطف کم تیرے

جدھر تو نے کیا رخ زیر پا میرا تصور تھا

نہ باور ہو تو دیکھ آنکھوں میں ہیں نقش قدم تیرے

لب جاں بخش جاناں کب اجازت دیں گے مرنے کی

قیامت تک نہ دیکھیں گے قدم خواب عدم تیرے

نہیں رکھتا کوئی سرمایہ اعمال پاس اپنے

بھروسے کے لئے عاشق کے کافی ہیں کرم تیرے

تمنا غیر کی کرنا خلاف رسم الفت ہے

میں احسان اجل کیوں لوں نہیں ہیں کیا ستم تیرے

ذرا دیکھیں تو کیوں کر دم نکل جاتا ہے صدموں سے

فراق دل ربا آج امتحاں کرتے ہیں ہم تیرے

مجھے بھولے نہیں پاس محبت اس کو کہتے ہیں

شب وصلت میں بھی ہیں دوری جاناں کرم تیرے

ہجوم بے خودی میں اے نسیمؔ اب پاس معنی کیا

اجازت دے برا اچھا لکھیں جو کچھ قلم تیرے

نسیم دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shikayat Ke Ewaz Hum Shukr Karte Hain Sanam Tere

Naseem Dehlvi

shikayat ke ewaz hum shukr karte hain sanam tere
maza dene lage kuchh sahte sahte ab sitam tere

na puchh ab mujh se tu meri umidon ki ye surat hai
ki hain bhi aur nahin bhi jis tarah pur-lutf kam tere

jidhar tu ne kiya ruKH zer-e-pa mera tasawwur tha
na bawar ho to dekh aankhon mein hain naqsh-e-qadam tere

lab-e-jaan-baKHsh-e-jaanan kab ijazat denge marne ki
qayamat tak na dekhenge qadam KHwab-e-adam tere

nahin rakhta koi sarmaya-e-amal pas apne
bharose ke liye aashiq ke kafi hain karam tere

tamanna ghair ki karna KHilaf-e-rasm-e-ulfat hai
main ehsan-e-ajal kyun lun nahin hain kya sitam tere

zara dekhen to kyun kar dam nikal jata hai sadmon se
firaq-e-dil-ruba aaj imtihan karte hain hum tere

mujhe bhule nahin pas-e-mohabbat us ko kahte hain
shab-e-waslat mein bhi hain duri-e-jaanan karam tere

hujum-e-be-KHudi mein ai 'nasim' ab pas-e-mani kya
ijazat de bura achchha likhen jo kuchh qalam tere

(450) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shikayat Ke Ewaz Hum Shukr Karte Hain Sanam Tere written by Naseem Dehlvi at UrduPoint. Shikayat Ke Ewaz Hum Shukr Karte Hain Sanam Tere is one of the masterpieces written by Naseem Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Naseem Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naseem Dehlvi' above.

Shikayat Ke Ewaz Hum Shukr Karte Hain Sanam Tere is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shikayat Ke Ewaz Hum Shukr Karte Hain Sanam Tere, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.