Hum Ko Yaad-e-yar Mein Hasil Jo Tanhai Hui, Urdu Ghazal By Naseem Fatima Nazar Lakhnavi

Hum Ko Yaad-e-yar Mein Hasil Jo Tanhai Hui is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naseem Fatima Nazar Lakhnavi. Hum Ko Yaad-e-yar Mein Hasil Jo Tanhai Hui comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hum Ko Yaad-e-yar Mein Hasil Jo Tanhai Hui on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہم کو یاد یار میں حاصل جو تنہائی ہوئی

نسیم فاطمہ نظر لکھنوی

ہم کو یاد یار میں حاصل جو تنہائی ہوئی

ٹوٹ کر برسی گھٹا جو دل پہ تھی چھائی ہوئی

زندگی جب سے تری میری شناسائی ہوئی

تو تماشا بن گئی اور میں تماشائی ہوئی

آئیں گے ساون میں ساجن لے کے آئی ہے نوید

بے وجہ پھرتی نہیں پروائی بورائی ہوئی

آپ اتنا تو سمجھنے کی کبھی زحمت کریں

آپ کی بھی میری رسوائی سے رسوائی ہوئی

جاگ اٹھے آج لو پھر عشق کے سوئے نصیب

زندگی پھر آج اس بت کی تمنائی ہوئی

چھپ گئے ہیں ماہ و انجم ہر طرف ہے خامشی

آ بھی جا اے یاد رفتہ اب تو تنہائی ہوئی

اس قدر مضبوط ہے آئین الفت کی گرفت

کہہ نہیں پاتی زباں پر بات بھی آئی ہوئی

رات آئے تو نہ جانے کس طرح گزرے نظرؔ

ہے طبیعت شام ہی سے آج گھبرائی ہوئی

نسیم فاطمہ نظر لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hum Ko Yaad-e-yar Mein Hasil Jo Tanhai Hui

Naseem Fatima Nazar Lakhnavi

hum ko yaad-e-yar mein hasil jo tanhai hui
TuT kar barsi ghaTa jo dil pe thi chhai hui

zindagi jab se teri meri shanasai hui
tu tamasha ban gai aur main tamashai hui

aaenge sawan mein sajan le ke aai hai nawed
be-wajh phirti nahin purwai baurai hui

aap itna to samajhne ki kabhi zahmat karen
aap ki bhi meri ruswai se ruswai hui

jag uTThe aaj lo phir ishq ke soe nasib
zindagi phir aaj us but ki tamannai hui

chhup gae hain mah-o-anjum har taraf hai KHamushi
aa bhi ja ai yaad-e-rafta ab to tanhai hui

is qadar mazbut hai aain-e-ulfat ki giraft
kah nahin pati zaban par baat bhi aai hui

raat aae to na jaane kis tarah guzre 'nazar'
hai tabiat sham hi se aaj ghabrai hui

(379) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hum Ko Yaad-e-yar Mein Hasil Jo Tanhai Hui written by Naseem Fatima Nazar Lakhnavi at UrduPoint. Hum Ko Yaad-e-yar Mein Hasil Jo Tanhai Hui is one of the masterpieces written by Naseem Fatima Nazar Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Naseem Fatima Nazar Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naseem Fatima Nazar Lakhnavi' above.

Hum Ko Yaad-e-yar Mein Hasil Jo Tanhai Hui is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hum Ko Yaad-e-yar Mein Hasil Jo Tanhai Hui, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.