Ab Hamein Teri Tamanna Nahin Hai, Urdu Ghazal By Naseem Nazish

Ab Hamein Teri Tamanna Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naseem Nazish. Ab Hamein Teri Tamanna Nahin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ab Hamein Teri Tamanna Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اب ہمیں تیری تمنا نہیں ہے

نسیم نازش

اب ہمیں تیری تمنا نہیں ہے

آنکھ کو ذوق تماشا نہیں ہے

جانے کیوں ڈھونڈ رہے ہیں ہم تم

وہ جو تقدیر میں لکھا نہیں ہے

یوں سر راہ گزر بیٹھے ہیں

جیسے ہم کو کہیں جانا نہیں ہے

پھر یہ کیوں خاک سی اڑتی ہے یہاں

دل کے اندر کوئی صحرا نہیں ہے

شہر والو کبھی اس کو بھی پڑھو

وہ جو دیوار پہ لکھا نہیں ہے

اس کو کمتر نہ سمجھنا لوگو

وہ جسے خواہش دنیا نہیں ہے

ہم کو ہے قرب میسر کا نشہ

ہم کو اندیشۂ فردا نہیں ہے

یہ گزرتا ہوا اک سایۂ وقت

قاتل عمر ہے لمحہ نہیں ہے

تہہ میں رشتوں کی اتر کر دیکھو

کون اس دہر میں تنہا نہیں ہے

ہجر کا تجھ کو ہے شکوہ تو نے

معنیٔ عشق کو سمجھا نہیں ہے

گم ہوئے کتنے ہی بے نام شہید

جن کا تاریخ میں چرچا نہیں ہے

تو ہے بیگانہ تو کیا تجھ سے گلہ

کوئی دنیا میں کسی کا نہیں ہے

کر گئے خوف خزاں سے ہجرت

پیڑ پر کوئی پرندہ نہیں ہے

زیست میں ہم نے بچا کر کچھ وقت

کبھی اپنے لئے رکھا نہیں ہے

ہم ہیں اس عہد میں زندہ جس کا

جسم ہی جسم ہے چہرہ نہیں ہے

تم نہ ہو گے تو جئیں گے کیسے

ابھی اس بارے میں سوچا نہیں ہے

کیسی محفل یہ سجی ہے نازشؔ

کوئی بھی میرا شناسا نہیں ہے

نسیم نازش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ab Hamein Teri Tamanna Nahin Hai

Naseem Nazish

ab hamein teri tamanna nahin hai
aankh ko zauq-e-tamasha nahin hai

jaane kyun DhunD rahe hain hum tum
wo jo taqdir mein likkha nahin hai

yun sar-e-rahguzar baiThe hain
jaise hum ko kahin jaana nahin hai

phir ye kyon KHak si uDti hai yahan
dil ke andar koi sahra nahin hai

shahr walo kabhi us ko bhi paDho
wo jo diwar pe likkha nahin hai

us ko kamtar na samajhna logo
wo jise KHwahish-e-duniya nahin hai

hum ko hai qurb-e-mayassar ka nasha
hum ko andesha-e-farda nahin hai

ye guzarta hua ek saya-e-waqt
qatil-e-umr hai lamha nahin hai

tah mein rishton ki utar kar dekho
kaun is dahr mein tanha nahin hai

hijr ka tujh ko hai shikwa tu ne
mani-e-ishq ko samjha nahin hai

gum hue kitne hi be-nam shahid
jin ka tariKH mein charcha nahin hai

tu hai begana to kya tujh se gila
koi duniya mein kisi ka nahin hai

kar gae KHauf-e-KHizan se hijrat
peD par koi parinda nahin hai

zist mein hum ne bacha kar kuchh waqt
kabhi apne liye rakkha nahin hai

hum hain us ahd mein zinda jis ka
jism hi jism hai chehra nahin hai

tum na hoge to jiyenge kaise
abhi is bare mein socha nahin hai

kaisi mahfil ye saji hai 'nazish'
koi bhi mera shanasa nahin hai

(681) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ab Hamein Teri Tamanna Nahin Hai written by Naseem Nazish at UrduPoint. Ab Hamein Teri Tamanna Nahin Hai is one of the masterpieces written by Naseem Nazish. You can also find the complete poetry collection of Naseem Nazish by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naseem Nazish' above.

Ab Hamein Teri Tamanna Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ab Hamein Teri Tamanna Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.