Islam-abaad Ki Ek Sham, Urdu Nazam By Naseem Nazish

Islam-abaad Ki Ek Sham is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Naseem Nazish. Islam-abaad Ki Ek Sham comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Islam-abaad Ki Ek Sham on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اسلام آباد کی ایک شام

نسیم نازش

زمیں پہ پتے بکھر رہے ہیں

خنک ہوا کے اداس جھونکے

گئی رتوں کی تلاش میں ہیں

خزاں زدہ باغ بے بہاراں

یہ کہہ رہا ہے کہ مجھ کو دیکھو

عجیب دن ہیں عجیب راتیں

شکستہ پا بے نشاں سویرے

مرا مقدر ہیں بس اندھیرے

نہ اب پرندے شجر پہ گاتے ہیں گیت کوئی

بس ایک بے نام فاصلہ ہے

جو کہنہ پیڑوں کے درمیاں ہے

یہ گرتے پتوں کی داستاں ہے

بلند و بالا درخت تنہا

فسردہ جنگل کے درمیاں اب لٹے کھڑے ہیں

کہ سارے منظر سسک رہے ہیں

تمام جنگل سکوت غم کے حصار میں ہے

ہمارے ہاتھوں سے مشعل خواب کس نے چھینی

ہوا نہیں ہے تو کون مجرم ہے، کچھ بتاؤ

یہ شام پت جھڑ کی دائمی تو نہیں ہے نازشؔ

بہار کی صبح آنے والی ہے غم نہ کرنا

امید کا جو دیا جلایا ہے، اس کی لو کو

ہواؤں کے ڈر سے کم نہ کرنا

جو کلفتیں ہیں جو وحشتیں ہیں

یہ زندگی کی حقیقتیں ہیں

نسیم نازش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Islam-abaad Ki Ek Sham

Naseem Nazish

zamin pe patte bikhar rahe hain
KHunuk hua ke udas jhonke
gai ruton ki talash mein hain
KHizan-zada bagh-e-be-bahaaran
ye kah raha hai ki mujh ko dekho
ajib din hain ajib raaten
shikasta-pa be-nishan sawere
mera muqaddar hain bas andhere
na ab parinde shajar pe gate hain git koi
bas ek be-nam fasla hai
jo kohna peDon ke darmiyan hai
ye girte patton ki dastan hai
buland-o-baala daraKHt tanha
fasurda jangal ke darmiyan ab luTe khaDe hain
ki sare manzar sisak rahe hain
tamam jangal sukut-e-gham ke hisar mein hai
hamare hathon se mishal-e-KHwab kis ne chhini
hawa nahin hai to kaun mujrim hai, kuchh batao
ye sham patjhaD ki daimi to nahin hai 'nazish'
bahaar ki subh aane wali hai gham na karna
ummid ka jo diya jalaya hai, us ki lau ko
hawaon ke Dar se kam na karna
jo kulfaten hain jo wahshaten hain
ye zindagi ki haqiqaten hain

(516) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Islam-abaad Ki Ek Sham written by Naseem Nazish at UrduPoint. Islam-abaad Ki Ek Sham is one of the masterpieces written by Naseem Nazish. You can also find the complete poetry collection of Naseem Nazish by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naseem Nazish' above.

Islam-abaad Ki Ek Sham is a widely read Urdu Nazam. If you like Islam-abaad Ki Ek Sham, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.