BaDh Gaya Dard Dawaon Ka Asar Hone Tak, Urdu Ghazal By Naseem Nikhat

BaDh Gaya Dard Dawaon Ka Asar Hone Tak is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naseem Nikhat. BaDh Gaya Dard Dawaon Ka Asar Hone Tak comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read BaDh Gaya Dard Dawaon Ka Asar Hone Tak on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بڑھ گیا درد دواؤں کا اثر ہونے تک

نسیم نکہت

بڑھ گیا درد دواؤں کا اثر ہونے تک

چھوڑ کر چل دیا بیمار خبر ہونے تک

جب سے بیمار کی رخصت کا یقیں آنے لگا

آنکھ لگتی ہی نہیں اب تو سحر ہونے تک

آبلے پھوٹ کے روتے رہے رفتار کے ساتھ

پھول کھلتے رہے انجام سفر ہونے تک

اک ریاضت ہے عبادت ہے یہ تخلیق کا فن

وقت درکار ہے پودے کو شجر ہونے تک

چیخ کر رو دیا بادل کہ ہواؤں کا غرور

کس طرح ٹوٹ گیا معرکہ سر ہونے تک

یہ دعا ہے کہ ہر آنگن کا شجر پھولے پھلے

پھول کھلتے رہیں شاخوں پہ ثمر ہونے تک

ان کو معلوم جو ہوتا تو کرم کر دیتے

ہم یہاں مٹ بھی گئے ان کو خبر ہونے تک

چڑھتے سورج کی پرستار بنی تھی دنیا

ہم بھی دیکھا کئے عیبوں کو ہنر ہونے تک

شعر گوئی کوئی آسان نہیں ہے نکہتؔ

بال پک جاتے ہیں لفظوں میں اثر ہونے تک

نسیم نکہت

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

BaDh Gaya Dard Dawaon Ka Asar Hone Tak

Naseem Nikhat

baDh gaya dard dawaon ka asar hone tak
chhoD kar chal diya bimar KHabar hone tak

jab se bimar ki ruKHsat ka yaqin aane laga
aankh lagti hi nahin ab to sahar hone tak

aable phuT ke rote rahe raftar ke sath
phul khulte rahe anjam-e-safar hone tak

ek riyazat hai ibaadat hai ye taKHliq ka fan
waqt darkar hai paude ko shajar hone tak

chiKH kar ro diya baadal ki hawaon ka ghurur
kis tarah TuT gaya marka sar hone tak

ye dua hai ki har aangan ka shajar phule phale
phul khulte rahen shaKHon pe samar hone tak

un ko malum jo hota to karam kar dete
hum yahan miT bhi gae un ko KHabar hone tak

chaDhte suraj ki parastar bani thi duniya
hum bhi dekha kiye aibon ko hunar hone tak

sher-goi koi aasan nahin hai 'nikhat'
baal pak jate hain lafzon mein asar hone tak

(586) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read BaDh Gaya Dard Dawaon Ka Asar Hone Tak written by Naseem Nikhat at UrduPoint. BaDh Gaya Dard Dawaon Ka Asar Hone Tak is one of the masterpieces written by Naseem Nikhat. You can also find the complete poetry collection of Naseem Nikhat by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naseem Nikhat' above.

BaDh Gaya Dard Dawaon Ka Asar Hone Tak is a widely read Urdu Ghazal. If you like BaDh Gaya Dard Dawaon Ka Asar Hone Tak, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.