Bana Ke Taj-mahal KHud Use Giraunga, Urdu Ghazal By Naseem Shekh

Bana Ke Taj-mahal KHud Use Giraunga is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naseem Shekh. Bana Ke Taj-mahal KHud Use Giraunga comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bana Ke Taj-mahal KHud Use Giraunga on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بنا کے تاج محل خود اسے گراؤں گا

نسیم شیخ

بنا کے تاج محل خود اسے گراؤں گا

محبتوں میں بغاوت ہے کیا دکھاؤں گا

قلم لگا کے عداوت کے پیڑ پودوں میں

جو شاخ صبر کا پھل دے وہی اگاؤں گا

اتر چکی ہے مری روح میں شب ہجراں

میں اس کو ہجر کی منکوحہ اب بناؤں گا

غموں کی آنچ پر آنسو ابال کر اپنے

میں اپنے ضبط کی قوت کو آزماؤں گا

چلا ہوں باد مخالف میں ایک مدت سے

نہ چھیڑو مجھ کو وگرنہ تمہیں رلاؤں گا

کرو نہ فکر ستاروں کی چال جو بھی ہو

اٹھا کے چاند چکوری کے پاس لاؤں گا

لگا کے سینے سے میں راستوں کے یہ پتھر

خزاں میں گیت بہاروں کے گنگناؤں گا

میں تشنگی کو مٹانے کے واسطے صحرا

لبوں سے تیرے میں یہ آبلے لگاؤں گا

بھنور کے پیروں میں حسرت کے باندھ کر گھنگھرو

گر اختیار میں ہوگا تو میں نچاؤں گا

میں ایک موج‌‌ نسیمیؔ ہوں بستیاں دل کی

سراب دشت ترے سامنے بساؤں گا

نسیم شیخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bana Ke Taj-mahal KHud Use Giraunga

Naseem Shekh

bana ke taj-mahal KHud use giraunga
mohabbaton mein baghawat hai kya dikhaunga

qalam laga ke adawat ke peD-paudon mein
jo shaKH sabr ka phal de wahi uganga

utar chuki hai meri ruh mein shab-e-hijran
main us ko hijr ki mankuha ab banaunga

ghamon ki aanch par aansu ubaal kar apne
main apne zabt ki quwwat ko aazmaunga

chala hun baad-e-muKHalif main ek muddat se
na chheDo mujh ko wagarna tumhein rulaunga

karo na fikr sitaron ki chaal jo bhi ho
uTha ke chand chakori ke pas launga

laga ke sine se main raston ke ye patthar
KHizan mein git bahaaron ke gungunaunga

main tishnagi ko miTane ke waste sahra
labon se tere main ye aable lagaunga

bhanwar ke pairon mein hasrat ke bandh kar ghunghru
gar iKHtiyar mein hoga to main nachaunga

main ek mauj-e-'nasimi' hun bastiyan dil ki
sarab-e-dasht tere samne basaunga

(617) ووٹ وصول ہوئے

You can read Bana Ke Taj-mahal KHud Use Giraunga written by Naseem Shekh at UrduPoint. Bana Ke Taj-mahal KHud Use Giraunga is one of the masterpieces written by Naseem Shekh. You can also find the complete poetry collection of Naseem Shekh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naseem Shekh' above.

Bana Ke Taj-mahal KHud Use Giraunga is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bana Ke Taj-mahal KHud Use Giraunga, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.