Main Bhi Ai Kash Kabhi Mauj-e-saba Ho Jaun, Urdu Ghazal By Naseer Turabi

Main Bhi Ai Kash Kabhi Mauj-e-saba Ho Jaun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naseer Turabi. Main Bhi Ai Kash Kabhi Mauj-e-saba Ho Jaun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main Bhi Ai Kash Kabhi Mauj-e-saba Ho Jaun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں بھی اے کاش کبھی موج صبا ہو جاؤں

نصیر ترابی

میں بھی اے کاش کبھی موج صبا ہو جاؤں

اس توقع پہ کہ خود سے بھی جدا ہو جاؤں

ابر اٹھے تو سمٹ جاؤں تری آنکھوں میں

دھوپ نکلے تو ترے سر کی ردا ہو جاؤں

آج کی رات اجالے مرے ہمسایہ ہیں

آج کی رات جو سو لوں تو نیا ہو جاؤں

اب یہی سوچ لیا دل میں کہ منزل کے بغیر

گھر پلٹ آؤں تو میں آبلہ پا ہو جاؤں

پھول کی طرح مہکتا ہوں تری یاد کے ساتھ

یہ الگ بات کہ میں تجھ سے خفا ہو جاؤں

جس کے کوچے میں برستے رہے پتھر مجھ پر

اس کے ہاتھوں کے لیے رنگ حنا ہو جاؤں

آرزو یہ ہے کہ تقدیس ہنر کی خاطر

تیرے ہونٹوں پہ رہوں حمد و ثنا ہو جاؤں

مرحلہ اپنی پرستش کا ہو درپیش تو میں

اپنے ہی سامنے مائل بہ دعا ہو جاؤں

تیشۂ وقت بتائے کہ تعارف کے لیے

کن پہاڑوں کی بلندی پہ کھڑا ہو جاؤں

ہائے وہ لوگ کہ میں جن کا پجاری ہوں نصیرؔ

ہائے وہ لوگ کہ میں جن کا خدا ہو جاؤں

نصیر ترابی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Bhi Ai Kash Kabhi Mauj-e-saba Ho Jaun

Naseer Turabi

main bhi ai kash kabhi mauj-e-saba ho jaun
is tawaqqo pe ki KHud se bhi juda ho jaun

abr uTThe to simaT jaun teri aankhon mein
dhup nikle to tere sar ki rida ho jaun

aaj ki raat ujale mere ham-saya hain
aaj ki raat jo so lun to naya ho jaun

ab yahi soch liya dil mein ki manzil ke baghair
ghar palaT aaun to main aabla-pa ho jaun

phul ki tarah mahakta hun teri yaad ke sath
ye alag baat ki main tujh se KHafa ho jaun

jis ke kuche mein baraste rahe patthar mujh par
us ke hathon ke liye rang-e-hina ho jaun

aarzu ye hai ki taqdis-e-hunar ki KHatir
tere honTon pe rahun hamd-o-sana ho jaun

marhala apni parastish ka ho darpesh to main
apne hi samne mail-ba-dua ho jaun

tisha-e-waqt batae ki taaruf ke liye
kin pahaDon ki bulandi pe khaDa ho jaun

hae wo log ki main jin ka pujari hun 'nasir'
hae wo log ki main jin ka KHuda ho jaun

(774) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main Bhi Ai Kash Kabhi Mauj-e-saba Ho Jaun written by Naseer Turabi at UrduPoint. Main Bhi Ai Kash Kabhi Mauj-e-saba Ho Jaun is one of the masterpieces written by Naseer Turabi. You can also find the complete poetry collection of Naseer Turabi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naseer Turabi' above.

Main Bhi Ai Kash Kabhi Mauj-e-saba Ho Jaun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main Bhi Ai Kash Kabhi Mauj-e-saba Ho Jaun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.