Ghaalib Ka Postmortem, Urdu Nazam By Nashtar Amrohvi

Ghaalib Ka Postmortem is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Nashtar Amrohvi. Ghaalib Ka Postmortem comes under the Social category of Urdu Nazam. You can read Ghaalib Ka Postmortem on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

غالبؔ کا پوسٹ مارٹم

نشتر امروہوی

ایک دن غالبؔ کے پڑھ کر شعر میری اہلیہ

مجھ سے بولی آپ تو کہتے تھے ان کو اولیا

عاشق بنت عنب کو آپ کہتے ہیں ولی

فاقہ مستی میں بھی ہر دم کر رہا ہے مے کشی

پوجنے سے مہ جبینوں کے یہ باز آتا نہیں

اور پھر کافر کہے جانے سے شرماتا نہیں

کوئی بھی مہوش اکیلے میں اگر آ جائے ہاتھ

چھیڑخوانی کر دیا کرتا تھا اکثر اس کے ساتھ

بد گمانی کا اگر محبوب کی ہوتا نہ ڈر

اس کے پیروں کا وہ بوسہ لیتا رہتا رات بھر

کوئی رکھتا تھا اگر اس سے ذرا شرم و حجاب

رعب دکھلانے کو اس سے کہہ دیا کرتے جناب

''ہم سے کھل جاؤ بوقت مہ پرستی ایک دن''

''ورنہ ہم چھیڑیں گے رکھ کر عذر مستی ایک دن''

گر کسی مہمان کے آنے کی ہوتی تھی خبر

بوریا تک بھی نہیں ہوتا تھا اس ننگے کے گھر

اس لئے چھائی ہوئی تھی اس کے گھر میں مفلسی

کل کے ڈر سے آج پینے میں نہ کرتا تھا کمی

مے کشی کو گر کوئی ساقی نہیں دیتا تھا جام

اوک سے پی کر ہی وہ اپنا چلا لیتا تھا کام

مرتے مرتے بھی شراب اس کی نہ ہو پائی تھی کم

جام کو تکتا رہا جب تک رہا آنکھوں میں دم

اس کے اس کردار پر مجھ سے نہ کرنا گفتگو

خاک میں جس نے ملا دی خاندانی آبرو

اس قدر پہنچے ہوئے شاعر کا یہ کردار ہے

شعر کہنا چھوڑ دیجے شاعری بیکار ہے

اس سے پہلے کہ مرا برباد ہو جائے یہ گھر

آپ بس گھر میں رہیں شعر و ادب کو چھوڑ کر

مے کشی اور آپ ہوں مطلوب و طالب کی طرح

سوچتی ہوں آپ ہو جائیں نہ غالبؔ کی طرح

نشتر امروہوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ghaalib Ka Postmortem

Nashtar Amrohvi

ek din 'ghaalib' ke paDh kar sher mary ahliya
mujh se boli aap to kahte the in ko auliya

aashiq-e-bint-e-enab ko aap kahte hain wali
faqa-masti mein bhi har dam kar raha hai mai-kashi

pujne se mah-jabinon ke ye baz aata nahin
aur phir kafir kahe jaane se sharmata nahin

koi bhi mahwash akele mein agar aa jae hath
chheDKHwani kar diya karta tha aksar us ke sath

bad-gumani ka agar mahbub ki hota na Dar
us ke pairon ka wo bosa leta rahta raat bhar

koi rakhta tha agar us se zara sharm-o-hijab
roab dikhlane ko us se kah diya karte janab

ham se khul jao ba-waqt-e-mah-parasti ek din
warna hum chheDenge rakh kar uzr-e-masti ek din

gar kisi mehman ke aane ki hoti thi KHabar
boriya tak bhi nahin hota tha us nange ke ghar

is liye chhai hui thi us ke ghar mein muflisi
kal ke Dar se aaj pine mein na karta tha kami

mai-kashi ko gar koi saqi nahin deta tha jam
ok se pi kar hi wo apna chala leta tha kaam

marte marte bhi sharab us ki na ho pai thi kam
jam ko takta raha jab tak raha aaankhon mein dam

us ke is kirdar par mujh se na karna guftugu
KHak mein jis ne mila di KHandani aabru

is qadar pahunche hue shaer ka ye kirdar hai
sher kahna chhoD dije shaeri be-kar hai

is se pahle ki mera barbaad ho jae ye ghar
aap bas ghar mein rahen sher-o-adab ko chhoD kar

mai-kashi aur aap hon matlub-o-talib ki tarah
sochti hun aap ho jaen na 'ghaalib' ki tarah

(933) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ghaalib Ka Postmortem written by Nashtar Amrohvi at UrduPoint. Ghaalib Ka Postmortem is one of the masterpieces written by Nashtar Amrohvi. You can also find the complete poetry collection of Nashtar Amrohvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nashtar Amrohvi' above.

Ghaalib Ka Postmortem is a widely read Urdu Nazam. If you like Ghaalib Ka Postmortem, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.