Ek Ghair Ki Mahfil Se UThaya Nahin Jata, Urdu Ghazal By Nashtar Chaprawi

Ek Ghair Ki Mahfil Se UThaya Nahin Jata is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nashtar Chaprawi. Ek Ghair Ki Mahfil Se UThaya Nahin Jata comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ek Ghair Ki Mahfil Se UThaya Nahin Jata on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اک غیر کہ محفل سے اٹھایا نہیں جاتا

نشتر چھپروی

اک غیر کہ محفل سے اٹھایا نہیں جاتا

اک میں کہ کبھی ساتھ بٹھایا نہیں جاتا

سننے کو تو راضی ہیں وہ حال دل بیتاب

افسوس مجھی سے یہ سنایا نہیں جاتا

اس ضعف و نقاہت کا برا ہو کہ شب وصل

وہ پاس ہیں اور ہاتھ لگایا نہیں جاتا

تم دیکھ کے مجھ کو تو گرا دیتے تھے پردہ

منہ سامنے غیروں کے چھپایا نہیں جاتا

جس روز سے اغیار نے بھڑکایا ہے ان کو

میں بزم میں اس دن سے بلایا نہیں جاتا

خط غیر کا بھیجا ہے مجھے یار نے قاصد

قسمت کا لکھا سچ ہے مٹایا نہیں جاتا

غم دوست وہ ہوں میری تسلی نہیں ہوتی

جب تک کہ میں جی بھر کے ستایا نہیں جاتا

لے لے کے مرا نام دیا کرتے ہیں گالی

میں دل سے کبھی ان کو بھلایا نہیں جاتا

آنکھیں تو ملاتے ہیں غضب ناک وہ ہو کر

افسوس ہے دل ان سے ملایا نہیں جاتا

اب ضبط فغاں کا نہیں یارا مجھے ہرگز

راز دل بیتاب چھپایا نہیں جاتا

اللہ ر نزاکت کہ مرے قتل پہ نشترؔ

اس شوخ سے خنجر بھی اٹھایا نہیں جاتا

نشتر چھپروی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ek Ghair Ki Mahfil Se UThaya Nahin Jata

Nashtar Chaprawi

ek ghair ki mahfil se uThaya nahin jata
ek main ki kabhi sath biThaya nahin jata

sunne ko to raazi hain wo haal-e-dil-e-betab
afsos mujhi se ye sunaya nahin jata

is zoaf-o-naqahat ka bura ho ki shab-e-wasl
wo pas hain aur hath lagaya nahin jata

tum dekh ke mujh ko to gira dete the parda
munh samne ghairon ke chhupaya nahin jata

jis roz se aghyar ne bhaDkaya hai un ko
main bazm mein us din se bulaya nahin jata

KHat ghair ka bheja hai mujhe yar ne qasid
qismat ka likha sach hai miTaya nahin jata

gham-dost wo hun meri tasalli nahin hoti
jab tak ki main ji bhar ke sataya nahin jata

le le ke mera nam diya karte hain gali
main dil se kabhi un ko bhulaya nahin jata

aankhen to milate hain ghazabnak wo ho kar
afsos hai dil un se milaya nahin jata

ab zabt-e-fughan ka nahin yara mujhe hargiz
raaz-e-dil-e-betab chhupaya nahin jata

allah re nazakat ki mere qatl pe 'nashtar'
us shoKH se KHanjar bhi uThaya nahin jata

(360) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ek Ghair Ki Mahfil Se UThaya Nahin Jata written by Nashtar Chaprawi at UrduPoint. Ek Ghair Ki Mahfil Se UThaya Nahin Jata is one of the masterpieces written by Nashtar Chaprawi. You can also find the complete poetry collection of Nashtar Chaprawi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nashtar Chaprawi' above.

Ek Ghair Ki Mahfil Se UThaya Nahin Jata is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ek Ghair Ki Mahfil Se UThaya Nahin Jata, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.