Kabhi To Multawi Zikr-e-jahan-gardan Bhi Hona Tha, Urdu Ghazal By Nashtar Khaanqahi

Kabhi To Multawi Zikr-e-jahan-gardan Bhi Hona Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nashtar Khaanqahi. Kabhi To Multawi Zikr-e-jahan-gardan Bhi Hona Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kabhi To Multawi Zikr-e-jahan-gardan Bhi Hona Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کبھی تو ملتوی ذکر جہاں گرداں بھی ہونا تھا

نشتر خانقاہی

کبھی تو ملتوی ذکر جہاں گرداں بھی ہونا تھا

کبھی تو اہتمام صحبت یاراں بھی ہونا تھا

توقع کے مطابق ہے یہ تبدیلی تو حیرت کیا

اسے مشکل بھی ہونا تھا مجھے آساں بھی ہونا تھا

ریاکاروں پہ کل تک جس کے دروازے مقفل تھے

اسی جنت میں جشن فتنہ پردازاں بھی ہونا تھا

کبھی دیکھا نہ تھا یوں ہم نے بازار وفا ویراں

تو کیا اس شہر میں قحط خریداراں بھی ہونا تھا

ابھی تک جو کنارے سے بظاہر شانت لگتا تھا

اسی دریا کو اب طوفاں پس طوفاں بھی ہونا تھا

بالآخر ہم بھی شب بھر جاگتے رہنے سے باز آئے

دیار ہجر میں کچھ وصل کا ساماں بھی ہونا تھا

یہ تازہ باب دانائی یہاں آ کر میں ششدر ہوں

جو کل تک تھے بہت دانا انہیں ناداں بھی ہونا تھا

نشتر خانقاہی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kabhi To Multawi Zikr-e-jahan-gardan Bhi Hona Tha

Nashtar Khaanqahi

kabhi to multawi zikr-e-jahan-gardan bhi hona tha
kabhi to ehtimam-e-sohbat-e-yaran bhi hona tha

tawaqqo ke mutabiq hai ye tabdili to hairat kya
use mushkil bhi hona tha mujhe aasan bhi hona tha

riya-karon pe kal tak jis ke darwaze muqaffal the
usi jannat mein jashn-e-fitna-pardazan bhi hona tha

kabhi dekha na tha yun hum ne bazar-e-wafa viran
to kya is shahr mein qahat-e-KHaridaran bhi hona tha

abhi tak jo kinare se ba-zahir shant lagta tha
usi dariya ko ab tufan pas-e-tufan bhi hona tha

bil-aKHir hum bhi shab bhar jagte rahne se baz aae
dayar-e-hijr mein kuchh wasl ka saman bhi hona tha

ye taza bab-e-danai yahan aa kar main shashdar hun
jo kal tak the bahut dana unhen nadan bhi hona tha

(508) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kabhi To Multawi Zikr-e-jahan-gardan Bhi Hona Tha written by Nashtar Khaanqahi at UrduPoint. Kabhi To Multawi Zikr-e-jahan-gardan Bhi Hona Tha is one of the masterpieces written by Nashtar Khaanqahi. You can also find the complete poetry collection of Nashtar Khaanqahi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nashtar Khaanqahi' above.

Kabhi To Multawi Zikr-e-jahan-gardan Bhi Hona Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kabhi To Multawi Zikr-e-jahan-gardan Bhi Hona Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.