Ye Meri Sham-e-judai Kis Bala Ki Sham Hai, Urdu Ghazal By Nashtar Qaimganjvi

Ye Meri Sham-e-judai Kis Bala Ki Sham Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nashtar Qaimganjvi. Ye Meri Sham-e-judai Kis Bala Ki Sham Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Meri Sham-e-judai Kis Bala Ki Sham Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ مری شام جدائی کس بلا کی شام ہے

نشتر قائم گنجوی

یہ مری شام جدائی کس بلا کی شام ہے

سیکڑوں لاکھوں بلائیں اک دل ناکام ہے

دست ساقی میں جھلکتا ساغر گلفام ہے

جانے قسمت کا سکندر کون تشنہ کام ہے

اختتام روغن ہستی کا یہ انجام ہے

لو چراغ زندگی کی لرزہ بر اندام ہے

میرے لاشہ پر عزیز و آشنا روتے ہیں کیوں

اب مجھے تکلیف کیا آرام ہی آرام ہے

بیکسی نے میری بالیں پر دم آخر کہا

جتنی صبحیں ہو چکی ہیں ہوتی سب کی شام ہے

پاؤں تھک جائیں بلا سے شوق تھکنے کا نہیں

منزل مقصود لاکھوں کوس بھی دو گام ہے

لڑکھڑا کر گر پڑا ہوں آ کے منزل کے قریب

تم کہاں بیٹھے ہو آؤ اب تمہارا کام ہے

اچھی صورت کو نہ جانے کیوں برا کہتے ہیں لوگ

حسن بیچارہ تو نشترؔ مفت میں بدنام ہے

نشتر قائم گنجوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Meri Sham-e-judai Kis Bala Ki Sham Hai

Nashtar Qaimganjvi

ye meri sham-e-judai kis bala ki sham hai
saikDon lakhon balaen ek dil-e-nakaam hai

dast-e-saqi mein jhalakta saghar-e-gulfam hai
jaane qismat ka sikandar kaun tishna-kaam hai

iKHtitam-e-roghan-e-hasti ka ye anjam hai
lau charagh-e-zindagi ki larza-bar-andam hai

mere lashe par aziz-o-ashna rote hain kyon
ab mujhe taklif kya aaram hi aaram hai

bekasi ne meri baalin par dam-e-aKHir kaha
jitni subhen ho chuki hain hoti sab ki sham hai

panw thak jaen bala se shauq thakne ka nahin
manzil-e-maqsud lakhon kos bhi do gam hai

laDkhaDa kar gir paDa hun aa ke manzil ke qarib
tum kahan baiThe ho aao ab tumhaara kaam hai

achchhi surat ko na jaane kyon bura kahte hain log
husn-e-bechaara to 'nashtar' muft mein badnam hai

(615) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Meri Sham-e-judai Kis Bala Ki Sham Hai written by Nashtar Qaimganjvi at UrduPoint. Ye Meri Sham-e-judai Kis Bala Ki Sham Hai is one of the masterpieces written by Nashtar Qaimganjvi. You can also find the complete poetry collection of Nashtar Qaimganjvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nashtar Qaimganjvi' above.

Ye Meri Sham-e-judai Kis Bala Ki Sham Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Meri Sham-e-judai Kis Bala Ki Sham Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.