Teri Gali Mein Jo Aae Wo Ghar Nahin Jate, Urdu Ghazal By Nasim Maysori

Teri Gali Mein Jo Aae Wo Ghar Nahin Jate is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nasim Maysori. Teri Gali Mein Jo Aae Wo Ghar Nahin Jate comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Teri Gali Mein Jo Aae Wo Ghar Nahin Jate on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تری گلی میں جو آئے وہ گھر نہیں جاتے

نسیم میسوری

تری گلی میں جو آئے وہ گھر نہیں جاتے

جو تیرے در پہ ہیں وہ در بدر نہیں جاتے

وہ آئیں گے کبھی کوٹھے پہ امتحاں کر لو

فلک سے بھاگے تو شمس و قمر نہیں جاتے

مسیح و بو علی سینا کی کیا ہوئی تشخیص

کسی علاج سے داغ جگر نہیں جاتے

گلے لگاتے ہیں ان کو بہانے رخصت کے

چلے شراب کہ اب ہم سفر نہیں جاتے

وہ کون صبح نہیں کرتے شام کا وعدہ

وہ شام کون سی ہے جو مکر نہیں جاتے

پڑھایا طوطے کو اک عمر بے وفا نکلا

ازل کے بگڑے کسی سے سدھر نہیں جاتے

یہ آگے آگے کنول لے کے چل رہے ہو کیوں

وہ منزلوں میں قمر کے اگر نہیں جاتے

تمہاری چشموں نے خط پر مگر نہ ڈالی آنکھ

غزال کس لئے ریحاں کو چر نہیں جاتے

فلک سے پوچھئے دریا کا شور کچھ بھی ہے

جو نکلے دل سے یہ نالہ کدھر نہیں جاتے

غبار آہ کا میرے ہے جلد ریل سے بھی

کچھ آب برق روش تار پر نہیں جاتے

لڑا کے آنکھ تم آنکھوں سے ہو گئے پنہاں

پر آنکھ سے مری مثل نظر نہیں جاتے

مکان اور تو لائق نظر نہیں آتا

غریب خانہ تو ہے کیوں اتر نہیں جاتے

خیال سبزۂ خط بھی ہو اے جناب خضر

پئے ہیں آب بقا آپ مر نہیں جاتے

دھڑی جماؤ ملو مہندی زلف سلجھاؤ

غضب کا ناز ہے تم کیوں سنور نہیں جاتے

تمہاری چوٹی کی ناگن سے کھیلتے ہیں مدام

کسی بلا سے یہ عشاق ڈر نہیں جاتے

خفا نسیم سے کتنے ہیں وہ الٰہی خیر

ہوا بھی کھانے کو شام و سحر نہیں جاتے

نسیم میسوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Teri Gali Mein Jo Aae Wo Ghar Nahin Jate

Nasim Maysori

teri gali mein jo aae wo ghar nahin jate
jo tere dar pe hain wo dar-ba-dar nahin jate

wo aaenge kabhi koThe pe imtihan kar lo
falak se bhage to shams-o-qamar nahin jate

masih-o-bu-ali-sina ki kya hui tashKHis
kisi ilaj se dagh-e-jigar nahin jate

gale lagate hain un ko bahane ruKHsat ke
chale sharab ki ab ham-safar nahin jate

wo kaun subh nahin karte sham ka wada
wo sham kaun si hai jo mukar nahin jate

paDhaya tote ko ek umr bewafa nikla
azal ke bigDe kisi se sudhar nahin jate

ye aage aage kanwal le ke chal rahe ho kyun
wo manzilon mein qamar ke agar nahin jate

tumhaari chashmon ne KHat par magar na Dali aankh
ghazal kis liye raihan ko char nahin jate

falak se puchhiye dariya ka shor kuchh bhi hai
jo nikle dil se ye nale kidhar nahin jate

ghubar aah ka mere hai jald rail se bhi
kuchh aab-e-barq rawish tar par nahin jate

laDa ke aankh tum aankhon se ho gae pinhan
par aankh se meri misl-e-nazar nahin jate

makan aur to laeq nazar nahin aata
gharib-KHana to hai kyun utar nahin jate

KHayal-e-sabza-e-KHat bhi ho ai janab-e-KHizr
piye hain aab-e-baqa aap mar nahin jate

dhaDi jamaw malo mehndi zulf suljhao
ghazab ka naz hai tum kyun sanwar nahin jate

tumhaari choTi ki nagin se khelte hain mudam
kisi bala se ye ushshaq Dar nahin jate

KHafa nasim se kitne hain wo ilahi KHair
hawa bhi khane ko sham-o-sahar nahin jate

(375) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Teri Gali Mein Jo Aae Wo Ghar Nahin Jate written by Nasim Maysori at UrduPoint. Teri Gali Mein Jo Aae Wo Ghar Nahin Jate is one of the masterpieces written by Nasim Maysori. You can also find the complete poetry collection of Nasim Maysori by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nasim Maysori' above.

Teri Gali Mein Jo Aae Wo Ghar Nahin Jate is a widely read Urdu Ghazal. If you like Teri Gali Mein Jo Aae Wo Ghar Nahin Jate, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.